Shaam
08-09-2010, 10:02 AM
khuloos e niyat aur wafa bhi kam lagti hai
meri jaan teri her jafa bhi kam lagti hai
raat bheegey asmaan talei jalta raha makaan mera
ab rakh lei jaaye ura kar tou hawa bhi kam lagti hai
wo jo mei nei kat li wo shab mera hi zarf tha
kuch lamho me aziyat e qaza bhi kam lagti hai
muhabbat me bhi kuch aur jahano ki sair karai us ne
mara bhi waha jaakei ke her saza bhi kam lagti hai
tere husn e mayar pei ta umr hairan hi raha Shaam
muhabbat ko chorein, junoon ki her ada bhi kam lagti hai