Ghuncha
08-05-2010, 03:01 AM
"Qissa abi hijaab say aagey nahin barha,
Main aap, wo janab say aagay nahin barha..
Muddat hui kitaab-e-muhabat shuru kiye,
Lekin mein pehlay baab say aagey nahin barha..
Lambi musafatein hain magar is swaar ka,
Paaon abhi rakaab say aagey nahin barha..
Logon ney sung-o-khisht k qillay bana liye,
Apna mehel to khawab say aagay nahin barha..
Tool-e-kalaam k liye main ney kiye sawaal,
Wo mukhtasar jawab say aagay nahin barha...!