Fatima Javaid
08-04-2010, 01:07 AM
Jo meri aankhoN se KHUAAB dekho
TO ik shab bhi na SO sako gey
Keh laakh chaho NA HANS SAKO GY
Hazaar chaho NA RO SAKO GY
Keh khuaab kya haiN, azaab haiN ye
Merey dukhoN ki kitaab haiN ye
RafaqatteiN in maiN choot'ti haiN
MohabbetteiN in maiN rootht'ti haiN
Panapti haiN in maiN wheshatteiN si
AziyatteiN in main phout'ti haiN
Inhi kay dar se khizaaN haiN jazbey
Inhi se shaakheiN si tootti haiN
GhamoN ki bandish haiN khuaab merey
Ubal raha hay dukhoN ka laava
Rehn-e-aatish haiN khuaab merey
KHYAL SARY JHULAS GAYE HAIN
Sulagti khuahish haiN khuaab merey
UkhaRti saanseiN haiN zindigi ki
Lahoo ki sazish haiN khuaab merey
JO MERI ANKHOON SE KHHUAB DAKHO
TO IK SHAB B NA SO SAKOO GY...
TO ik shab bhi na SO sako gey
Keh laakh chaho NA HANS SAKO GY
Hazaar chaho NA RO SAKO GY
Keh khuaab kya haiN, azaab haiN ye
Merey dukhoN ki kitaab haiN ye
RafaqatteiN in maiN choot'ti haiN
MohabbetteiN in maiN rootht'ti haiN
Panapti haiN in maiN wheshatteiN si
AziyatteiN in main phout'ti haiN
Inhi kay dar se khizaaN haiN jazbey
Inhi se shaakheiN si tootti haiN
GhamoN ki bandish haiN khuaab merey
Ubal raha hay dukhoN ka laava
Rehn-e-aatish haiN khuaab merey
KHYAL SARY JHULAS GAYE HAIN
Sulagti khuahish haiN khuaab merey
UkhaRti saanseiN haiN zindigi ki
Lahoo ki sazish haiN khuaab merey
JO MERI ANKHOON SE KHHUAB DAKHO
TO IK SHAB B NA SO SAKOO GY...