DiE
07-31-2010, 01:42 AM
Intizar
Chand maddham hai Aasman chup hai
Neend ki goud mai jaha chup hai
door wadiyon mai dodhya badal
jhuk k parbat ko piyar karte hain
dil mai nakam hasratain lai kar
hum tera intizar karte hain
In baharoon k saey mai ajaa
phir mohobbat jawan rahey na rahey
zindagi tere na muradoon per!
kal talak meherban rahey na rahey
Rooz ki tarha aaj bhi tarey
subha ki goud mai na khoo jaey
Aa tere ghum mai jaagti ankheyn
kam se kam ek raat so jaeyn
Chand maddham hai Aaasman chup hai
Neend ki goud mai jaha chup hai
Chand maddham hai Aasman chup hai
Neend ki goud mai jaha chup hai
door wadiyon mai dodhya badal
jhuk k parbat ko piyar karte hain
dil mai nakam hasratain lai kar
hum tera intizar karte hain
In baharoon k saey mai ajaa
phir mohobbat jawan rahey na rahey
zindagi tere na muradoon per!
kal talak meherban rahey na rahey
Rooz ki tarha aaj bhi tarey
subha ki goud mai na khoo jaey
Aa tere ghum mai jaagti ankheyn
kam se kam ek raat so jaeyn
Chand maddham hai Aaasman chup hai
Neend ki goud mai jaha chup hai