Fatima Javaid
07-29-2010, 08:44 PM
ab bhii tauhiin-e-ita’at nahiiN hogii hamse
dil nahiiN hogaa to ba’it nahiiN hogii hamse
roz ek taazah qasiidah nayii tashbiib ke saath
rizq bar-haq hai ye Khidmat nahiiN hogii hamse
dil ke ma’abuud, jabiinoN ke KhudaaoN se alag
aise aalam meN ibaadat nahiiN hogii hamse
har nayii nasl ko ek taazah madiine kii talaash
saahebo! ab ko’ii hijrat nahiiN hogii hamse