LAMS
07-16-2010, 02:41 AM
ilzam tha diey pe na tafseer rat ki
hum ne to bus hawa kay taaluq se bat ki
har subha jab kay subh e qayamat ki terhan aaey
aise men kon hoga jo soche sabat ki
zanjeer hai jazeerah hai ya shaakh be samar
ab kon si lakeer salamat hai hath ki
merne agar na pai to zinda bhi kab rahi
tunha kati wo umar jo thi tere sath ki
phir bhi na mera qafla lutne se bach saka
men ne khabar to rakhi thi har aek ghat ki
perveen shakir