LAMS
07-15-2010, 04:33 AM
haal poocha na kare haath milaaya na kare
men isi dhoop men khush hoon koi saya na kare
men bhi akhir hoon isi dasht ka rehne wala
kese majnoo se kahoon khaak uraya na kare
aaina mere shab o roz se waqif hi nahi
kon hoon kia hoon ? mujhe yaad dilaya na kare
ain mumkin hai chali jaaey samat meri
dil se keh do kay bohut shor machaya na kare
mujh se raston ka bicharna nahi dekha jata
mujh se milne wo kisi mor pe aya na kare