PDA

View Full Version : Ajeeb khawish ha sehar walon se chup chupa k kitaab likhon


~ Bikhre Lamhe ~
07-13-2010, 07:48 PM
Ajeeb khawish ha sehar walon se chup chupa k kitaab likhon
Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intasab likhoon

Wo lamha kitna ajeeb tha jab humari aankhin gale milin thin
Main kis terha ab muhabbaton ki tishnagi k aazab likhon?

Tum hi ne mere ujaar rastoon pe khawishon k diye jalye
Tum hi ne chaha tha k khushk honton se chahon k gulaab likhon

Khabi wo din the k neind aankhon ki sarhadon se pare pare thi
Magar ab jab bi sona chahon,tumhari yaadon k khwab likhon

Saqi" tenha dayar-a-shab main jalyon sach k diye kehan tak
Siyah karoon ki saltanat main main kis terhan aftab likhon ?

Zidatoon k jinoon main jis k qadan lahoon say rangay hwea hain
Woh meray bas main nahi hain logon! k unko izaat-a-maab likhoon

Yahi buhat ha k in labon ko sada se mehron kar k rakh doun
Magar ya kaisi muslahat ha samandaron ko saarab likhon?

!«╬Ĵamil Malik╬«!
07-13-2010, 08:12 PM
very nice bro
Noshi Gillani ?

Zafina
07-13-2010, 08:32 PM
very Nice :thumb:

M A H i
07-13-2010, 10:01 PM
NYC,
Ajeeb khawish ha sehar walon se chup chupa k kitaab likhon
Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intasab likhoon
Kuch ehsaas lafzoon mein kabhi Biyaan nahi hote
Dil ki kitaab mein qaid huwy lamhey kabhi Dastaan nahi hote...

~ Bikhre Lamhe ~
07-13-2010, 11:03 PM
NYC,

Kuch ehsaas lafzoon mein kabhi Biyaan nahi hote
Dil ki kitaab mein qaid huwy lamhey kabhi Dastaan nahi hote...

Very Nice Aap Ki Nazar Mahi





us ko bi bachana ha khud ko bi bachana ha
aik simt ha zaat apni aik simt zamana ha
hum se na koyi uljhe hum log hain deewane
andhi se hamin zid ha aik deep jalana ha
hum dono ko banta ha darya k kinaron ne
is simt bi rehna ha us simt bi jana ha
ye ishq tu fitrat ha kaise ho juda muj se
ye rog ha matti ka our sadiyon purana ha
basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein
itna jo kaha main ne aik shahar basana ha
aik ankh ha sehra tu aik ankh samandar ha
kya jane is dil mein kis kis ko samana ha
kehne ko buhat kuch ha ah Sabah magar hum ne
aik wada nibhana ha aik dard chupna ha

LAMS
07-14-2010, 12:21 AM
nice poetry
thx for shairing

~~KING~~
07-14-2010, 01:07 AM
very nice............................:bu:

~ Bikhre Lamhe ~
07-14-2010, 07:28 PM
nice poetry
thx for shairing

:chup: thanks

~ Bikhre Lamhe ~
07-14-2010, 07:29 PM
very nice............................:bu:

:pepsi-drink: thanks

M A H i
07-14-2010, 07:37 PM
Very Nice Aap Ki Nazar Mahi





us ko bi bachana ha khud ko bi bachana ha
aik simt ha zaat apni aik simt zamana ha
hum se na koyi uljhe hum log hain deewane
andhi se hamin zid ha aik deep jalana ha
hum dono ko banta ha darya k kinaron ne
is simt bi rehna ha us simt bi jana ha
ye ishq tu fitrat ha kaise ho juda muj se
ye rog ha matti ka our sadiyon purana ha
basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein
itna jo kaha main ne aik shahar basana ha
aik ankh ha sehra tu aik ankh samandar ha
kya jane is dil mein kis kis ko samana ha
kehne ko buhat kuch ha ah Sabah magar hum ne
aik wada nibhana ha aik dard chupna ha

ahan,
Thnx : )

BeeNa AG
07-14-2010, 07:38 PM
nice......:p

~ Bikhre Lamhe ~
07-14-2010, 08:43 PM
nice......:p

:0026: thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.