SHAYAN
06-21-2010, 04:24 AM
Meri Ratoon Ki Rahat Din Ka Itminaan Le Jana,
Tumharay Kaam Aa Jaye Ga, Yeh Saman Le Jana,
Tumharay Baad Kia Rakhna Ana Say Wasta Koi ?
Tum Apnay Saath Mera Umer Bhar Ka Maan Le Jana,
Shikista Kay Kuch Raizay Paray Hein Farsh Par , Chun Lo
Agar Tum Jor Sakte Ho Tu Yeh Guldaan Le Jana,
Udher Almarion Mein Chand Awraaq Pareshan Hein,
Meray Yeh Baqimanda Khuwab Meri Jaan Le Jana,
Irada Kar Liya Hai Tum Nein Gar Sach Much Bicharnay Ka !
Tu Phir Apnay Yeh Saray Wada-O-Pemaan Le Jana,