PDA

View Full Version : Jis se Koi Khaas Taaruf Bhi Nahi . . .


M A H i
06-18-2010, 09:05 PM
Us ka tu her andaaz nirala sa lagay hai
Qatil hai mera aur masiha sa lagay hai

Wo jis se koi khas taaruf bhi nahi hai
jub bhi nazer aajaye apna sa lagay hai

hum us ke bina jaise mukammal hee nahi ?
jo kaam bhi kertay hain adhura sa lagay hai

mein us ki her aik baat ko kis terha na manoo
wo jhoot bhi bolay hai tou sachcha sa lagay hai

ek umr hui tootay huay dil ko hamare
ye zakhm mager aaj bhi taaza sa lagay hai

itni si khata per keh tera naam liya tha
her shaks mere khoon ka piyasa sa lagay hai

Shaam
06-19-2010, 02:01 AM
bahut zabardast Mahi
khoobsoorat shairi aur hasb e riwayat lajawab intikhaab...

Rumisha
06-19-2010, 09:41 AM
very nice..

!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-19-2010, 08:51 PM
Nice Thnx For Sharing

Morash
11-11-2010, 01:28 PM
Awesome

A L i
11-22-2010, 10:03 PM
bahut umda

life2
11-22-2010, 10:45 PM
nyc...

HaaNiya
11-23-2010, 12:05 PM
ek umr hui tootay huay dil ko hamare
ye zakhm mager aaj bhi taaza sa lagay hai

LAjawab

Owi
03-01-2012, 11:53 AM
Main Us Ki Her Ik Baat Ko Kis Terhan Na Maanoon (Y)
Kya Baat Hai !

ღƬαsнι☣Rασ™
11-05-2012, 02:40 AM
Nice Post
thanks for sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.