FarazAli
06-16-2010, 01:29 PM
zindagii meN to sabhii pyaar kiyaa karte haiN
maiN tau mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuuNgaa
tuu milaa hai to ye ehsaas hu’aa hai mujhko
ye merii umr muhabbat ke liye thoRii hai
ek zaraa saa Gham-e-dauraaN kaa bhii haq hai jis par
maiN ne vo saaNs bhii tere liye rakh chhoRii hai
tujh pe ho jaauuNgaa qurbaan tujhe chaahuuNgaa
apne jazbaat meN naGhmaat rachaane ke liye
maiN ne dhaRkan kii tarah dil meN basaayaa hai tujhe
maiN tasavvur bhii judaa’ii kaa bhalaa kaise karuuN
maiN ne qismat kii lakiiroN se churaayaa hai tujhe
pyaar kaa ban ke nigehbaan tujhe chaahuuNgaa
terii har chaap se jalte haiN KhayaaloN meN chiraaG
jab bhii tuu aaye jagaataa hu’aa jaaduu aaye
tujhko chhuu luuN to phir ai jaan-e-tamannaa mujhko
der tak apne badan se terii Khushbuu aaye
tuu bahaaroN kaa hai unvaan tujhe chaahuuNgaa