(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
06-16-2010, 11:42 AM
Ham ko tere aane ka bharosa bhi nahiN tha
Par is se haseeN or koi dhoka bhi nahiN tha
LogoN ne tera poochha to poochha bhi kuch us waqt
Jab baat badalne ka bahana bhi nahiN tha
Dil yuN hua paththar ke kisi se na laga phir
Halanke teri yaad ka pehra bhi nahiN tha
Hairat se take jate the baarish ko ham is baar
Khushboo maiN basa koi sandesa bhi nahiN tha
Tareek hui shab to kia dard ko roshan
Dunya se madad lena gawara bhi nahiN tha
Har cheez badal daali thi yuN gard-e-safar ne
Apna to ab aayeene maiN chehra bhi nahiN tha
Rota tha Saraab aaj to hairat na karo tum
Insaan tha aakhir wo farishta bhi nahiN tha