PDA

View Full Version : Tumne jo meri kabr par


Rumisha
06-11-2010, 11:39 PM
http://lh6.ggpht.com/_Knva5VaryQE/SUEwiPmYMzI/AAAAAAAAEyk/Fon2fd5z7p4/s800/Blu.gif
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya!
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya

main so rahi thai chain se, yun hi kafan e mazaar mein
yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya

tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya

pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya

aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya

ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya

main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya

tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya

http://lh6.ggpht.com/_Knva5VaryQE/SUEwiPmYMzI/AAAAAAAAEyk/Fon2fd5z7p4/s800/Blu.gif

!~*AdOrAbLe*~!
06-12-2010, 06:18 AM
veryy nice

FarazAli
06-12-2010, 03:35 PM
v good nice...........

Zafina
06-12-2010, 03:35 PM
Very Good .......

dur-e-shahwar
06-12-2010, 04:18 PM
beautiful poetry nhi flowers lolzzzzz

BeeNa AG
06-12-2010, 04:24 PM
bhut khUb.........

!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-12-2010, 08:37 PM
Very Nice

Rumisha
06-13-2010, 11:12 PM
thanks all

-|A|-
06-13-2010, 11:41 PM
Gud yAar ..

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
06-14-2010, 12:00 AM
zabardasttttt

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.