PDA

View Full Version : Khud hi sawal r khud hi..


Rumisha
06-09-2010, 04:36 PM
http://lh6.ggpht.com/lybatom/SNTmxP4tt9I/AAAAAAAAAyg/GSV6dXT66DE/s800/BarraFloresCTV_12a.png

khud hi sawaal aur khud hi jawaab se hun mai
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab se hun mai

dekh to jaao kareeb se ke naayaab se hun mai
vaqt ke sehraa maen ubhra saraab se hun mai

kuch din ki hun mehmaan hubaab se hun mai
abhi to hun paas tere abhi dastyaab se hun mai

aankhon se bahte ashko ka sailaab se hun mai
jo musalsal barastaa raha voh aab se hun mai

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab se hun mai
bigre huvey nasibon ka jaise hisaab se hun mai

kahin paayaab hun to kahin sailaab se hun mai
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab se hun mai

baar baar na kahy ke kharaab se hun mai
jo na aaunga phir haath voh sawaab se hun mai

kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab se hun mai

apni hi khushboo se mehroom gulaab se hun mai
haqiqat ho kar bhi kyon "ADE" khwaab se hun mai
http://lh6.ggpht.com/lybatom/SNTmxP4tt9I/AAAAAAAAAyg/GSV6dXT66DE/s800/BarraFloresCTV_12a.png

!~*AdOrAbLe*~!
06-09-2010, 05:30 PM
very beautifull sis

!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-09-2010, 06:34 PM
v nice,,,,,

FarazAli
06-09-2010, 06:44 PM
buetful v niceee

Úƒƒƒ
06-09-2010, 08:13 PM
Muhabbat...
Muhabbat dasht-e-furqat mein
bina rakht-e-safar chaltay kisi majzoob ke dil se nikalta
aik noha hai
muhabbat raaston ke jaal mein bhatka hua raahi
kisi ke baam pe thehra hua ik ajnabi chehra
muhabbat khuaab bun jaaey to taabeerein nahi miltein
muhabbat aik baarish hai

jo ik ik boond bun ke tun-mun mein jab utarti hai
sureelay saaz bajtay hain
anokhay baab khultay hain
muhabbat kerne waley to faseel-e-jaan ko daao per laga ke baat kertay hain
woh kaanto ki zameeno pe bhi nangay paaon chaltey hain
muhabbat aik sargoshi hai

kisi funkaar ke haathon se chirta bay-khudi ka raag
muhabbat baarishon ke mausam mein yaad ki kaaya
muhabbat jaltay-tuptay raaston per phailta saaya
muhabbat ik qaza bun ker bhi aati hai
kai logon ke jeewan mein
muhabbat marg-e-gul bhi hai

muhabbat yaas ki soorat
ik aisi piaas ki soorat
kabhi jo bujh nahi paati
muhabbat ik udaasi hai
bala ki khaamshi bhi hai
muhabbat



http://img241.imageshack.us/img241/3034/catw.jpg

Rumisha
06-11-2010, 01:01 PM
thanks all

Muhammad Ali
06-11-2010, 05:30 PM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.