!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-09-2010, 10:59 AM
dil ke sun_saan jaziiron ki Khabar layega
dard pahlu se judaa ho k kahaan jayega
kaun hotaa hai kisii ka shab-e-tanha_ii mein
Ghum-e-furqat hi Ghum-e-ishq ko behalayega
chaand k pehlu mein dam saadh k roti hai kiran
aaj taaron ka fusuun Khaak nazar aayega
raakh mein aag dabii hai Ghum-e-mehrumii ki
raakh ho kar bhi ye shola hamein sulgayega
waqt Khaamosh hai ruuthay huwaye yaaron ki tarah
kaun lau detay huwaye zakhmon ko sehalayega
dhuup ko dekh k uss jism pe parti hai jhamak
chhaon dekheingay toh uss zulf ka dhiyaan aayega
zindagi chal k zaraa maut ka dam_Kham dekhein
warna yeh jazbaa lehad tak hamein le jayega