Zafina
06-09-2010, 02:12 AM
Chaak damaniya'n nahi jati'n,
Dil ki na-daniya'n nahi jati'n...
Baam-o-dar jal uthay charagho'n say,
Ghar ki veeraniya'n nahi jati'n...
Orh li ha zameen khud pay magar,
Tan ki uryania'n nahi jati'n...
Hum tou chup hai'n magar zamanay ki,
Hashar samaniya'n nahi jati'n...
Dekh ker aainay mei'n aks apna,
Us ki herania'n nahi jati'n...
Lashkar-e-zulm thak gaya MOHSIN,
Apni qurbaniya'n nahi jati'n...
Dil ki na-daniya'n nahi jati'n...
Baam-o-dar jal uthay charagho'n say,
Ghar ki veeraniya'n nahi jati'n...
Orh li ha zameen khud pay magar,
Tan ki uryania'n nahi jati'n...
Hum tou chup hai'n magar zamanay ki,
Hashar samaniya'n nahi jati'n...
Dekh ker aainay mei'n aks apna,
Us ki herania'n nahi jati'n...
Lashkar-e-zulm thak gaya MOHSIN,
Apni qurbaniya'n nahi jati'n...