M A H i
06-03-2010, 02:32 PM
Silsila wafaaon ka ik naya hi chalaaya mein ney
na usey yaad rakha na hi bhulaaya mein ney
hansi utaar kar chehrey sey pheynk di lekin
firaq-e-yaar mein koi ashq nahi bahaaya mein ney
dard to tha magar khud ko bohat sambhaley rakha
zabt ke ehad ko har haal mein nibhaaya mein ney
laakh sulgaati rahi zamaaney ki tanqeed magar
terey kirdaar pe koi ilzaam nahi lagaaya mein ney
rang to aur bhi zamaaney mein bohat they lekin
naya koi khuwaab apni aankhon ko nahi dikhaaya mein ney
mila wo raah mein to ik lamhe ke leeye ruka to magar
haal na us ney poocha na hi bataaya mein ney
apni hi maangi huwi duwaanon sey mo'uh morr liya
khud apney hi jazbaat ko kar diya paraaya mein ney
dhoop nikli hey mujhey dhoondney to chupna kesa
bas yehi soch kar khud chorr diya saaya mein ney