PDA

View Full Version : *--Ek Dastan-e-Gumshuda--*By ADoO


!~*AdOrAbLe*~!
06-02-2010, 09:29 AM
http://i778.photobucket.com/albums/yy65/amyjayne10/Dividers/6e09892d.gif
Ek Dastan e Gumshuda
jo kahi gai na suni gai


Ek andher nagar ki wo basti
awaz koi na sada kahin


us nagar ki ek hi baat hui
ashqo ki bas barsat hui



har daricha tha udas bara
barbaad bara sunsaan bara


Na aks hi koi deewar hua
na parind koi humshakh hua


Ye kahani ujri wadi ki
koi sun sakey to suna karey


gar dhondo to kiya app miley?
kankar pathar aur khaak basey


Go Aaas ka ek bichoona tha
aur Khaab ki tani chaadar thi ,


us khar ki wadi main phir bhi
umeed ke gulshan khil uthey,


Kuch yun hua ke Ghazab hua
Ke andheer aur chand mil gaye,


Jab din ki tapish thamti thi
to raat ko jugnu jagtey they,


phir chand falak pe ata tha
angaan phir kiran nahata tha,


tareeki , dhoop ,tapish ke baad
jab shaam suhani ati thi,


us Ujrhi Ujrhi nagri main
phir chandni dhoop nahati thi,


Us chand ke Uljhey se Taiwar
Basti ko khoob sey Bhaatey they,


Uski paicheeda si Sanggat
basti ka aap ganwatey they,


Wo khar mian phool piroooti thi
chokhat ko khoob sajati thi,


chup Chaap nazaarey karti takti thi
Khud app mian jhooma karti thi,


Har Roz shaam ke Dhaltey hi
Aisa hi Manzar pati thi,


Anjaam se hukar beegaani
qismaat pe nazaaa huti thi,


Janey kaisey is masti mian
Suhani shabien hi beet chalien,


Na chandni hi dhoop nahati haiy
Na chand hi falak ab ata haiy,


abb shab-e-firaaq aur bebasi
ke qadam qadam pe udasiyan,


na milan raha na bekhudi
na wo shab guzeer khumariyan,


Basti ka chaman phir ujarh gaya
wo chand uska bicharh gaya,


Har raat falak wo takti haiy
ghum sehti haiy chup rehti haiy,


is baat pe hum bhi hastey hian
Kab Chaand kisi ka huta haiy,


Ek jehan haiy uska diwana
wo pehro dhalta aur nikalta haiy
http://i778.photobucket.com/albums/yy65/amyjayne10/Dividers/6e09892d.gif

!«╬Ĵamil Malik╬«!
06-02-2010, 07:19 PM
very nyc

SHAYAN
06-02-2010, 09:43 PM
Zaberdast

!~*AdOrAbLe*~!
06-02-2010, 10:26 PM
thnxxxx all

Ghuncha
06-02-2010, 11:42 PM
Nice .....

!~*AdOrAbLe*~!
06-03-2010, 06:06 AM
thnxxxx

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.