ShArArTi MuNdA
08-16-2008, 12:34 PM
Ye Kaisi Wafa Thi Ke Nibhaaney Bhi Na Aaye
Tum Shama-e-Tamana Ko Bujhaaney Bhi Na Aaye
Murjha Bhi Gaya Shaakh-e-Talab Par Gul-e-Umeed
Aur Tum Ke Ayadat Ke Bahaaney Bhi Na Aaye
Dil Ne Bhi Ruton Say Koi Lamha Nahin Maanga
Phir Lot Ke Qurbat Ke Zamaaney Bhi Na Aaye
Aankhon Mein Sitaarey Bhi Na Chamkey Ussey Mil Kar
Honton Pay Judaai Ke Fasaaney Bhi Na Aaye
Kuch Pursish-e-Yaaran Ke Bhi Andaaz Ajab Thay
Kuch Hum Ko Terey Zakhm Dikhaaney Bhi Na Aaye
Abb Tak Wohi Dam-kham Hai Terey Naam Waron Ke
Ruswa Bhi Huwey, Hosh Thikaaney Bhi Na Aaye
Kya Log Thay 'MuNdA' Ke Jo Bichrrey Sar-e-Manzil
Phir Yaad Unhein Rabt Puraaney Bhi Na Aaye ......!