Shaam
05-19-2010, 09:35 PM
Kabhi Yun Bhi aa Meri Aankh Main k MEri NAzar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Aik Raat Navaaz De Magar Us k Baad Sahar Na Ho
Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai Mujhe ye Sifat Bhi Atha Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karon To Dua Mein Meri Asar Na Ho
Mere Baazowon Main Thaki Thaki,Abhi Maho-e-Khuwaab Hai Chandni
Na Uthey Sitaron Ki Paalki, Abhi Aahaton Ka Guzar Na Ho
Yeh Ghazal Ki Jaise Hiran Ki Aankhon Main Pichli Raat Ki Chandni
Na Bhuje Kharabey Ki Roshni Kabhi Be-chiraag Yeh Ghar Na Ho
Woh Firaaq Ho Ya Visal ho, Teri Yaad Mehakegi Aik Din
Woh Gulaab Ban Ke Khilega Kya, Jo Chiraag Ban ke Jala Na Ho
Kabhi Dhoop De, Kabhi Badaliyan, dil-o-Jaan Se Dono Qabool Hain
Magar Us Nagar Mein Na Qaid Kar Jahan Zindagi Ki Hawa Na Ho
Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom k Kabhi Shaam K Phool Ko Choom k
Yunhi Saath Saath Chalen Sada Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho
Mere Pas Mere Habib Aa Zara Aur Dil k Qareeb Aa
Tujh Dhadkanon Mein Basa Loon Main ke Bichadhney Ka Kabhi Dar Na Ho