ShArArTi MuNdA
08-16-2008, 02:00 AM
Lab Pay Aahein Aankh Mein Aisa Woh Paani Dey Gaya
Kya Ussey Dohraein Hum Kaisi Kahani Dey Gaya
Zindagi Dhalney Ko Thi, Aisa Kiya Uss Ne Sahar
Aisi Qurbat Di Mujhey Phir Say Jawani Dey Gaya
Be-khabar Tha, Dard Ka Unwaan Baney Gi Zindagi
Jee Nahin Saktey Woh Aisi Zindagani Dey Gaya
Sab Ko Haathon Say Diya Mehfil Mein Aaney Ka Payam
Kachey Kachey Mann Mujhey Dawat Zabani Dey Gaya
Kuch Nahin Chorra Hai Uss Ne Pyar Ki Iss Raah Par
Murr Ke Phir Bhi Daikhney Ki Aadat Purani Dey Gaya
Kis Qadar Aabad Tha 'Tanha' Ke Dil Ka Nagar
Basti-e-Chaahat Ko Zaalim Phir Weerani Dey Gaya...!