View Full Version : Ahmed Faraz Poetry Collection
Zafina
05-10-2010, 01:48 PM
Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
aa phir e mjhy chor k jany k liye aa
pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa
:rose5::rose5::rose5::rose5:
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
:rose5::rose5::rose5::rose5:
koi aisa pyar ka bazaar hota
jis main nilaam wo sar-e-bazar hota
hum usy khareedty sab juch beech kar
aur phir dekhty kesy wo kisi aur k naam hota
:rose5::rose5::rose5::rose5:
Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn
Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon
Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon
:rose5::rose5::rose5::rose5:
Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge
:rose5::rose5::rose5::rose5:
M A H i
05-10-2010, 02:00 PM
wow....
thanks for creating this thread Dewani
i love his poetry alot : )
Zafina
05-10-2010, 02:03 PM
Thnx ........ U can also Share His Poetry In This Thread
!~*AdOrAbLe*~!
05-10-2010, 05:45 PM
bohutttt umdha sis
keeptup
Zafina
05-10-2010, 05:47 PM
Thnx Sissy .........
Zafina
05-12-2010, 12:15 PM
kaThin hai raahguzar thoRii duur saath chalo
bahut kaRaa hai safar thoRii duur saath chaalo
tamaam umr kahaaN ko’ii saath detaa hai
maiN jaantaa huuN magar thoRii duur saath chalo
nashe meN chuur huuN maiN bhii tumheN bhii hosh nahiiN
baRaa mazaa ho agar thoRii duur saath chalo
ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ghaniimat hai
kise hai kal kii Khabar, thoRii duur saath chalo
abhii to jaag rahe haiN chiraaGh raahoN ke
abhii hai duur sahar thoRii duur saath chalo
tavaaf-e-manzil-e-jaanaaN hameN bhii karnaa hai
“Faraz” tum bhii agar thoRii duur saath chalo
!«╬Ĵamil Malik╬«!
05-12-2010, 06:43 PM
very nyc
Zafina
05-14-2010, 07:44 PM
Thnx.........
~ Sanam Khan ~
05-14-2010, 08:37 PM
Fantastic siso .... Very nice ...
thanks for sharing ...
Zafina
05-14-2010, 09:45 PM
Thnx..........
Ghuncha
05-15-2010, 07:46 PM
Nice ....
Zafina
05-15-2010, 07:47 PM
Thnx ...........
Zafina
05-18-2010, 12:03 AM
silsile toR gayaa vo sabhii jaate jaate
varnaa itne to maraasim the ke aate jaate
shikvaa-e-zulmat-e-shab se to kahiiN behtar thaa
apne hisse kii ko’ii shammaa jalaate jaate
kitnaa aasaaN tha tere hijr meN marna jaanaaN
phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate
jashn-e-maqtal hi na barpa hu’aa varnaa ham bhii
paa-bajolaaN hii sahii naachte gaate jaate
uskii vo jaane usse paas-e-vafaa thaa ke na thaa
tum “Faraz” apnii taraf se to nibhaate jaate
Zafina
05-19-2010, 02:51 PM
Apni naakami ka ik yeh bhi sabeb hy Faraz
Cheez jo maanghty hain sub sy juda maanghty hain
MeOw*
05-19-2010, 05:15 PM
Nice CollectiOn, ...
Zafina
05-19-2010, 05:28 PM
Thnx ...............
Zafina
06-26-2010, 05:52 PM
Himmat-E-Iltija Nahin Baqi
Zabt Ka Hausla Nahin Baqi
Ik Teri Did Chin Gai Mujh Se
Warna Duniya Main Kya Nahin Baqi
Apni Mashq-E-Sitam Se Hath Na Khench
Main Nahin Ya Wafa Nahin Baqi
Teri Chashm-E-Alamnawaz Ki Khair
Dil Main Koi Gila Nahin Baqi
Ho Chuka Khatm Ahad-E-Hijr-O-Wisal
Zindagi Main Maza Nahin Baqi
FarazAli
06-26-2010, 06:10 PM
loo Faraz khud agay hai apki tarif karne k liye :0039: v v gr8 suprb.........
Zafina
06-26-2010, 06:12 PM
lol.......... Apki nahi Ahmed Faraz Ki poetry hay ya :laughat: Thank You For AprecCiating
FarazAli
06-26-2010, 06:25 PM
Me mazak kitta tere nal :990:
Rumisha
06-26-2010, 06:31 PM
very nice poetry keep it up :)
Zafina
06-26-2010, 06:59 PM
Thank you ..........
Zafina
06-28-2010, 12:19 AM
Zakhm kO PhOol tO Sar Sar kO Saba Kehtay hAin
JAaney Kya dOar hAi Kya lOg hAin Kya Kehtay hAin
Kya Qyamat hAi K Jin Key Liye rUk rUk Key Chaley
Ab wOhi lOg hUmien Aabla-pa Kehtay hAin
kOii BatlaaO K Eik Umr Ka BiChra MehbOob
Ittefaaqan Kahien Mil jAaye tO Kya Kehtay hAin ?
Yeh Bhi Andaaz e Sukhan hAi K Jaffa kO Terii
Ghamza o Ishva o Andaaz e Adda Kehtay hAin
jAb Tlak dOor hAi tO Teri Parastish Kar Lien
hUm Jisay ChOo Na Sakein Us kO KHUDA Kehtay hAin
Kya Ta'ajub hAi K hUm Ehl e Tamana kO "Faraz"
wO jO MehrOom e tAmAnA hAin bUrra Kehtay hAin
~~KING~~
07-01-2010, 09:20 PM
very nice................:bu:
Zafina
07-31-2010, 11:59 AM
Thanks King keep visiting
Zafina
07-31-2010, 12:01 PM
http://api.ning.com/files/JOGAnCCG5K8QxRKD08Z66hnhadkcvzrFuax2rlIZtHECJ9TKmA AWg01P09zaxQxRncgsJhkqNXda5K5YlSTKNjHpRWx9BC9V2ikk xzDXGs4_/ui.jpg
(‘“*JiĢäR*”’)
07-31-2010, 01:26 PM
http://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/1V.gifhttp://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/2E.gifhttp://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/3R.gifhttp://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/4Y.gifhttp://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/5N.gifhttp://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/6I.gifhttp://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/7C.gifhttp://i823.photobucket.com/albums/zz158/amir4ins/Text/2E.gif
Zafina
07-31-2010, 03:17 PM
Thanks All.............
ZA!B THE FUR!OUS
07-31-2010, 04:11 PM
thnXXXX miss zafina
Zafina
08-02-2010, 02:47 PM
Thanks.............. :situps:
S@N@ KH@N
08-02-2010, 04:57 PM
thnx sis for such a nice shrin!!!!!!!
S@N@ KH@N
08-02-2010, 04:58 PM
:hug:!!!!!!!!!!!!
Zafina
08-02-2010, 07:06 PM
Thanks :hug: ..........
Zafina
09-02-2010, 04:53 AM
Phir itne may0os kyun h0 us
ki bewaFayi par Faraz,
Tum khud hi t0h kehte thay k
w0h sab se Juda hai…!!!
(‘“*JiĢäR*”’)
09-02-2010, 10:28 AM
v.nice
Zafina
09-03-2010, 12:15 AM
Thanks All.............
FurQan
10-29-2010, 12:34 AM
Woh roz dehkta hai doobtay howe sooraj ko faraz
Kash main b kisi shaam ka manzar hota..
K@IN@@T
10-29-2010, 01:15 AM
V nice collection zafina sis
Zafina
10-30-2010, 11:57 AM
thanks Kainat Sis
Zafina
10-31-2010, 08:47 PM
http://dl3.glitter-graphics.net/pub/1169/1169323csbb1po1nf.gif
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
http://dl3.glitter-graphics.net/pub/1169/1169323csbb1po1nf.gif
Zafina
10-31-2010, 08:50 PM
http://dl9.glitter-graphics.net/pub/526/526629gqzns4h1i9.gif
Mai bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamm'oN ke saath
Aur kuchh lamhe thehar...E Zindigi...E Zindigi
Jab talak zinda hain Ankhon ke Furdah Taqche
Neelgon honthon se phutegi sadaa ki Raushni
Jism ki girti huyi deewar ko thaame huye
Mom ke but aatishiN chehre sulagti murti
Meri beenayi ki ye Makhlooq Zinda hai abhi
Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi
Ho to jane de mere lafzon ke maani se tahii
meri tehreereN, Dhuyen ki rengti parchhayiyaN
Jinke paikar apni awazon se khali belahu!
Mehav ho jane to de yaadon se khwabon ki tarha
Ruk to jayen aakhri sanson ki wehshi Andhiyaan
Phir haat lena m,ere maathey se tu apna haath
Mai bhi chup ho jaunga bujhti huyi shamo ke saath
Aur kuchh Lamhe thehar....E Zindigi....E Zindigi!!!
http://dl9.glitter-graphics.net/pub/526/526629gqzns4h1i9.gif
sahaili
11-01-2010, 08:18 PM
http://img137.imageshack.us/img137/9717/z4c996c87535f0.gif
Zafina
11-10-2010, 01:32 PM
http://dl4.glitter-graphics.net/pub/1470/1470254ugjds4v5xi.gif
maliksaim
11-10-2010, 03:46 PM
boht hi achi sharing ki hy
munazza
11-10-2010, 04:12 PM
this ghazal was sung by ghulam ali , its lyrics are superb
s_sableo
11-10-2010, 04:32 PM
wah wah wah zabrdast jee zabrdast sab ki sab hit hit hti
acha hai ...naqaab kyun laga rakha hai Zafina....?
Morash
11-11-2010, 12:18 AM
Nice Sharing...!!
Zafina
06-12-2011, 01:19 PM
http://dl.glitter-graphics.net/pub/2786/2786511n7pjxx24px.gif (http://www.glitter-graphics.com)
Khali Hathon ko kabhi goor se dekha hai Faraz,
kiss tarha Loog Lakeeron se nikal jate hai..!!!
http://dl.glitter-graphics.net/pub/2786/2786511n7pjxx24px.gif (http://www.glitter-graphics.com)
Zafina
06-15-2011, 12:34 AM
Pather Ki terha ager main Chup hun
Tu yeh na samjh k meri hasti
Beygana i shula wafa hay
Tahkeer sai yu na dek mujh ku
Ay sang tarash tera tesha
mumkin hay k zarb i Awal say
pehchan saky meray dil may
ju aag teray liye dabi hay
wo aag hi meri zindagi hay
Noor ul huda
06-17-2011, 08:02 PM
Very Badddddddddddddddd
Shaam
06-17-2011, 08:11 PM
Aur chahiye tujhey kitni muhabbatein faraaz
maon ne tere naam per bachon ke naam rakhdiye
Noor ul huda
06-17-2011, 08:15 PM
lolzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz!
NOT FUNNY!!
Shaam
06-17-2011, 08:26 PM
arey funny kia tha yah faraz ka shair hai
hudd hai
M A H i
07-03-2011, 06:56 PM
Nice thread zafina
keep sharing
Nice thread
Thankx for shairing
Zafina
02-16-2012, 11:54 AM
Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..
SAjan
02-16-2012, 02:53 PM
zafiii buht achi ha nice (y)
ample
02-21-2012, 09:27 PM
Zaberdast
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.