View Full Version : MaRi DaIrY sAy.........
dont depend on others
01-25-2009, 09:49 PM
fanks
life2
01-25-2009, 10:17 PM
Manzzalei'N Apni Jagah Rastay Apni Jaga`h
Jab Qadam Hi Sath na Dai'N tu Musafir Kia Karay
dont depend on others
01-26-2009, 10:35 AM
Mil gayi thandak nigahon ko
Tere dedaar se
Ho sake to aaj de
Aawaz muj ko pyar se
Mil gayi muj ko zubaan
Shoq hay mera jawaan
Choor kar tuj ko bata
Main bhala jaoun kahan
Aik nisbat hay mujhye
Tere dar o diwar se
Lab pe hay mere duaa
Tu yunhi mahke sada
Tarikhiya bujti raheen
Jalta rahe tera diya
Loog manga hi kareen
Khushbo tere gulzar se
Mil gayi thandak nigahon ko
Tere dedaar se
Ho sake to aaj de
Aawaz muj ko pyar se
dont depend on others
01-26-2009, 11:00 AM
muje tum yaad kar lena
kabhi aansoo bahao to muje tum yaad kar lena
jo khood ko bhool jao to muje tum yaad kar lena
koi tha jo tumhari ek hansi par jaan deta tha
so jab bhi muskurao to muje tum yaad kar lena
wafadari ki beemari fakat muj hi lahak hei
kissi ko aazmao to muje tum yaad kar lena
abhi to tum nai manzil naey raston ke rahi ho
kabhi gar lot aao to muje tum yaad kar lena
jahan bhi jab bhi chaha hei muje tum ne bulaya hei
jahan bhi jab bhi chaho to muje tum yaad kar lena
suno! Bhatti ki bas tum se fakat etni guzarish hei
muje gar bhool jao to muje tum yaad kar lena
momal ali
01-26-2009, 11:23 AM
very nyc so beautiful
humaa
01-26-2009, 11:40 AM
nice
v nice
Nida-H
01-26-2009, 11:43 AM
very nice collection..!!
dont depend on others
01-26-2009, 01:45 PM
thx so much u allz
-|A|-
01-26-2009, 06:37 PM
very nice
life2
01-26-2009, 09:17 PM
mujh se kehti hai teray saath rahongi
bohat piyar karti hai mujh se udaasi meri
dont depend on others
01-27-2009, 11:04 AM
Mari aankhon pe marti thi
Mari baaton pe hansti thi
Najaney larki thi kaisi
Muje khoney se darti thi
Muje jab be wo milti thi
Yehi har bar kehti thi
Suno!
Agar mein bhol jaon to
Agar mein rooth jaon to
Kabi wapis na aon to
Bhula pao gy ye sab kuch
Yonhi hansty rho gay kya?
Yehi batein hen bas us ki
Yehi yadein hen bas us ki
Muje bas pata hai itna
Muje wo piyar krti thi
Muje khoney se darti thi
dont depend on others
01-27-2009, 11:48 AM
wasal kay woh lamhay
meray kaandhay pay apna sar rakhay
Band aankhon main kai khwaab liayay
Larazaty huyay lub aanchal main chupayay
Aur jazbon kay sad-sailaab liayay
Meri kameez kay buttonon say khailti unglian teri
Chayar rahi ho jaisay kisi raag ki dhun
Teray aarizon pay har dum badlatay taassur
Rahi ho kudrat jaisay koi jaadu sa bun
Khaloos itna ki paimaana-e-shakhsiy at jayay chalak
Saadhgi aisi ki milay usmain mariam ki jhalak
Lutaanay lago jab tum apni adaain nasheeli
Utar aayay menaka jaisay chor kar apna falak
Khusboo teray badan ki lagay sharaab mujhay
Tujhmain mil jayay har swaal ka jwaab mujhay
Aur jab pyaar say bulao tum mujhko "Sonu"
koi mil jayay jaisay azeem khitaab mujhay
dont depend on others
01-27-2009, 12:10 PM
Mosam haseen hay lekin
Tum sa haseen naheen hay
Har ek ada tumari
Aji walah dil nasheen hay
Aye mere humsafar
Aye mere humnasheen
Meri nazar se poucho
Tum sa kaheen naheen hay
Tum ko basa k dil main
Hasrat koy naheen hay
Aye mere humsafar
Aye mere humnasheen
Dekh kar tum ko nazaron
Pe nashaa chane laga
Muskarahat pe baharon ko
Bhi rashk ane laga
Tum kis qadar haseen ho
Tum ko khabar naheen hay
Aye mere humsafar
Aye mere humnasheen
Mil gaye jab tum to
Jine ka maza ane laga
Dharkanon k saaz par
Dil jhuum kar gana laga
Tum mil gaye to duniya
Janat se bhi haseen hay
Aye mere humsafar
Aye mere humnasheen
dont depend on others
01-27-2009, 12:17 PM
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
dont depend on others
01-27-2009, 12:18 PM
Kitni masum thi zindagi
Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan
Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan
Sine se laga lete the daud kar sabhi
Pehle kabhi jab hum jab chhoti si baat pe rote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti
Waqt to milta hai magar fursat nahi milti
Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke
Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the
dont depend on others
01-27-2009, 12:18 PM
Zindagi kitni haseen hay
Sath mera tum agar do
Mout ka bhi gham naheen hay
Toora jo tu ne mera dil
Ek din pachtao ge
Pyar ka ho ga jab yaqeen
Duniya ko tukrao ge
Tum kaho ge sanam
Ho gaye hain tere hum
Dil ko jalate ho kyun
Hum se khafa ho kar
Chain mile ga na kaheen
Hum se juda ho kar
Ji sakeen ge na hum
Teri chahat ki kasam
dont depend on others
01-27-2009, 12:19 PM
Har aadmi alag sahi
Magar umang aik hay
Juda juda hain surteen
Lahou ka rang aik hay
Tumen jo yeh libas hay
Bohot azeez dostoo
Haqekton ko dhanpne ki
Hay yeh cheez dostoo
Yahan wagar na har kisi
Ka naam_o_nang aik hay
Woh geet sun raha houn main
Nagar nagar main aaj bhi
K jis ki laye pe jhoom uthe
Yeh sang dil samag bhi
Khere hain jitne zamzamen
Sabhi ka ang aik hay
Bani hay sari kayenaat
Pyar k khameer se
Na aye agar tumeen yaqeen
To pouch lo zameer se
Zameer ki har ek sada ka
Rang dhang aik hay
Yahan har aik shaks ka
Baland tar muqaam ho
Miteen dilon se nafraten
Sabhi ka ehtram ho
Is ehtram k liye hamari
Jang aik hay
dont depend on others
01-27-2009, 12:24 PM
Zindagi aik safar hay jis main
Loog milte hain bichar jate hain
Haadse aik hi pal main kiya kiya
Jine walon pe guzar jate hain
Rahzan aise bhi kuch milte hain
Ban k rahbar
Aastinon main chupe hote hain
Jin k khanjar
Loog hote naheen dil k wasey
Jaise cheroon se nazar ate hain
Aasman in ka zameen in ki
Zamana in ka
Sari duniya main naheen phir bhi
Thikana in ka
Aasmanon k yeh tuute tare
Yun zaminon pe bikhar jate hain
momal ali
01-27-2009, 12:33 PM
BEAUTIFUL very nyc collection :)
dont depend on others
01-27-2009, 02:07 PM
thx
dont depend on others
01-28-2009, 01:11 PM
Zindagi aik safar hay jis main
Loog milte hain bichar jate hain
Haadse aik hi pal main kiya kiya
Jine walon pe guzar jate hain
Rahzan aise bhi kuch milte hain
Ban k rahbar
Aastinon main chupe hote hain
Jin k khanjar
Loog hote naheen dil k wasey
Jaise cheroon se nazar ate hain
Aasman in ka zameen in ki
Zamana in ka
Sari duniya main naheen phir bhi
Thikana in ka
Aasmanon k yeh tuute tare
Yun zaminon pe bikhar jate hain
dont depend on others
01-28-2009, 02:00 PM
Dekho yeh koun aa gaya
Ban k nasha chaa gaya
Soyi baharoo
Soye nazaroo
Un k khayaloon main khoye
Nazarooo
Dekho yeh koun aa gaya hay
Ruthe huwe ko manao
Rahoon main kaliyan bichao
Mera sanam aa gaya
Koy to naam ligiye
Kisi qasoor ka
Bigar gaya mizaaj kyun
Mere hazoor ka
Woh hum se duur duur hain
Fazayeen gham se chuur hain
Jao baharo jao
Ruthe huwe ko manao
Un ko mana k laoo
Jhuki jhuki nigahon ka
Salam a gaya
Ruthi ruthi aadaon ka
Payam a gaya
Nazar nazar main pyar hay
To kaisa intezar hay
Aao nazaro aao
Ruthe huwe ko manao
Un ko gale se lagao
Mera sanam aa gaya.
dont depend on others
01-28-2009, 02:09 PM
Arz hay yeh gila naheen
Samjha hay jitna aap ne
Itna to main bura naheen
Bhatke huwe ko rah main
Pahle to aasra deya
Dil main basa k aap ne
Nazroon se phir gira deya
Aap hi goor kigiye
Zulm hay yeh saza naheen
Itna to main bura naheen
Layi hay is jahan main
Aap ki justju humeen
Aap se pahle thi kahan
Jine ki aarzu humeen
Kahte hain aaj aap se
Pahle kabhi kaha naheen
Itna to main bura naheen
Tufaan uthaya aap ne
Nagmain mere bikhar gaye
Badli nazar jo aap ki
Mout se pahle mar gaye
Ban k kisi ki zindagi
Hote hain yun khafa naheen
Itna to main bura naheen
dont depend on others
01-28-2009, 03:14 PM
ZABT KI KASAM DI HAI USNAY
Zaahir na ho jayay meri udaasi meri tanhai
Meray dil ki kasak aur badan ki angrai
Ubhar na aayay chayhray par
meri betaabion kay naqoosh
Suna na day kuch meri usko
Pyaar say nihaarti aankhain
Kadam aadtan na chal parain uski jaanib
Aur ban jayay uski pashymaani ka sabab
Zabt ki kasam di hai usnay
-|A|-
01-28-2009, 06:47 PM
very Nice
-|A|-
01-28-2009, 07:01 PM
very Nice
dont depend on others
01-29-2009, 10:22 AM
Muj se khafa ho ke
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai
Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai
Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai
Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai
Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai
Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai
Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gaata Hai
life2
01-29-2009, 09:44 PM
nice
Azaan hoti rahi main sunta raha per ghafil raha Namaz se,,
Ab kiya faida shoq-e-Namaz ka jab ho rahi hay Namaz meri!!
ShArArTi MuNdA
01-30-2009, 08:31 AM
nice collection
dont depend on others
01-30-2009, 09:14 AM
thx
momal ali
01-30-2009, 11:01 AM
awsom collection
humaa
01-30-2009, 11:27 AM
v nice
dont depend on others
01-30-2009, 12:21 PM
thx
-|A|-
01-30-2009, 04:56 PM
nice haan
dont depend on others
01-31-2009, 08:23 PM
Mera saawan bhi tum ho,
meri pyas bhi tum ho,
Sehra ki bahon mein chhupi aas bhi tum ho,
Tum yun to bohut door bohut door ho mujh se,
Ehsaas ye hota hai Mere pas hi tum ho.
Har zakham ki aghosh mein hai dard tumhara,
Har dard mein taskeen ka ehsaas bhi tum ho.
Kho jao to veeran si ho jati hai rahen,
Mil jao to phir Jeene ka ehsaas bhi tum ho.
Likhta hoon to tum hi utarte ho qalam se,
Padhta hoon to lehja bhi tum ho Aawaz bhi tum ho
Sawan bhi tum ho.
dont depend on others
01-31-2009, 08:24 PM
Aaj yeh kis ko nazar k
Samne pata houn main
Pyar ki bhuli huyi
Yadoon se takrata houn main
Kiya tumain woh chandni
Rateen bhi yaad ati naheen
Tum to kahte the
Sitaroon ki kasam khata houn main
Aao un tuuti huy yadoon ko
Aaa kar joor doo
Ab tumari yaad ati hay
To kho jata houn main
Tu na rooooo
Tu na ro mere liye jan_e_ tamana
Tu na ro
Tere aansu dekh kar
Betaab ho jata houn main.
dont depend on others
01-31-2009, 08:33 PM
Kahan ho tum ko dhund rahi hain
Yeh bahareen yeh samaan
Wahan wahan hum mileen ge tum se
Humeen poukaro jahan jahan
Halke halke bojhal bojhal
Jhumte badal chaye hain
Armanoo ki har manzil par
Tum ho tumare saye hain
Bin tere har kali khaar hay
Hum ko sajna tum se najane
Kitna pyar hay
Yunhi jab jab phool khileen ge
Tum ko yeh geet poukareen ge
Dil to tum ko de hi chuke hain
Jaan bhi tum par wareen ge
Bin tere har kali khaar hay
Hum ko to sajna tum se najane
Kitna pyar hay
dont depend on others
01-31-2009, 08:33 PM
Kahan ho tum ko dhund rahi hain
Yeh bahareen yeh samaan
Wahan wahan hum mileen ge tum se
Humeen poukaro jahan jahan
Halke halke bojhal bojhal
Jhumte badal chaye hain
Armanoo ki har manzil par
Tum ho tumare saye hain
Bin tere har kali khaar hay
Hum ko sajna tum se najane
Kitna pyar hay
Yunhi jab jab phool khileen ge
Tum ko yeh geet poukareen ge
Dil to tum ko de hi chuke hain
Jaan bhi tum par wareen ge
Bin tere har kali khaar hay
Hum ko to sajna tum se najane
Kitna pyar hay
-|A|-
01-31-2009, 08:37 PM
KooL HAAN
dont depend on others
01-31-2009, 09:06 PM
thx
dont depend on others
02-01-2009, 11:18 PM
meri jaan wapsi ka aik rasta rakhna perta hai
taluk toot bhi jae tu rishta rakhna perta hai
jinhain hum dil ki gehraion se sacha piyar kerte hain
jab un se baat ho tu khaas lehja rakhna perta hai
humari rooh ki hiddat ko jo na serd perne de
humain apne badan main esa shola rakhna perta hai
tujhe ger apni batain na sunaon!tu kahan jaon?
k tere samne iss dil ka shisha rakhna perta hai
sada aabad rakhe jo teri yadon ko iss dil main
k ane saath ik esa bhi lemha rakhna perta hai
humare dil main chahe chand jesi lakhon galian hon
andhere k liy bhi aik rasta rakhna perta hai
bhale jitne bhi dukh,jitne bhi gham hum ko milain
mizaj apna her ik soorat shugufta rakhna perta hai
dont depend on others
02-01-2009, 11:23 PM
Bata kya tere dil main bi
Yunhi meri mohabbat hay
Jo hallat ho gayi meri
Wohi teri bhi hallat hay
Haya ati hay agar kahte
To aankhon se hi samja de
Khushi ban jayeen ge
Yeh din sanam
Teri kasam
Yeh din jo sath guzre hain
Sanam ulfat ki rahoon main
Mohabbat ban k chamken ge
Sada meri nigahoon main
Rahe ga dil main ase tu
K jasey phool main khushbo
Na bhule jayeen ge
Yeh din sanam
Teri kasam
momal ali
02-01-2009, 11:46 PM
very nyc collection dont jee
dont depend on others
02-01-2009, 11:53 PM
Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tha, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa~
~Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa~
~Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya~
~Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa~
~Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye~
~Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa~
~Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzerh Gaye~
~Ye Mery Seher Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa~
~Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila~
~Na Kisi Ke Chot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa~
~Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa~
~Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa~
~Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila~
~Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa~
~Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon~
~Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa~
~Hameen Apny Gharh Sey Chaly Hoye, Sar Rah Umer Guzerr Gaye~
~Na Safar Ka Haq Ada Hoa, Na Justajo Ka Sila Mila~
dont depend on others
02-01-2009, 11:58 PM
"MOHABBAT CHOR DI HUM NE" . . .
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato'n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho'n Ko
Tumne Wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain Humain
Wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana'n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan'na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAUR SE JANA'N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne
"MOHABBAT CHOR DI HUM NE" . . .
Nida-H
02-02-2009, 11:58 AM
very nice collection..keep it up !!!
farina
02-02-2009, 06:34 PM
wow
farina
02-02-2009, 06:36 PM
very good
farina
02-02-2009, 06:37 PM
app k kitna thread hain ?
Dast-e-Tanhai
02-02-2009, 09:56 PM
to gud
dont depend on others
02-02-2009, 10:01 PM
mari poetry ki just yahi ha
and thx tanhi
dont depend on others
02-04-2009, 01:03 PM
ans jaane bojh kaise jivan ka dhoti rahi
Nayan bin ashru rahe par zindagi roti rahi.
Ek naazuk khwaab ka anzaam kuch easa hua
Main tadapta raha idhar wo us taraf roti rahi
Tang aakar muflisi se khudkushi kar li magar
Do ghaz qafan ko laash uski baat johati rahi
Bookh gharibi,laachari ne umar tak peecha kiya
Mehnat ke rookh par zardian tan pe phati dhoti rahi
Aaj to us maa ne jaise - taise bachche sulaa diye
Kal ki fikr par raat bhar daaman bhigoti rahi.
Deepak” basher ki khawahishon ka qad itna bad gaya
Khawahishon ki bheed me kahi zindagi khoti rahi.
dont depend on others
02-04-2009, 01:04 PM
Kahan ho kahan ho kahan ho
Baharon ki yeh shaam yeh samaan
Poukare tujhye, tu hay kahan
Naiyan huwe bhanwre
Chand dhale bhi tum aye na
Aye na aye na
Waheen hay dil, tu hay jahan
Najane par main houn kahan
Kaho yeh mere sanwre
Chand se kaho abhi jaye na
Jaye na jaye na
Hoooooo shakhon main woh
Tantanahat naheen hay
Rahoon main qadmon ki
Ahat naheen hay
Zulfoon ki khushbo teri
Aaj pawan kyun Laye na
Laye na laye na
Hoooo aankhon main chahat ka
Kajra laga k, hum tere sapnon main
Soye na jage, tarpe jiyara mora
Chain kisi pal aye na
Aye na aye na.
Dast-e-Tanhai
02-04-2009, 03:37 PM
very nive
!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-04-2009, 09:21 PM
nyc brthr
dont depend on others
02-05-2009, 09:22 PM
thx allz
dont depend on others
02-05-2009, 09:35 PM
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sare-e-raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon
Yeh jo gardishen hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon
Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon
Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon
Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley…!
dont depend on others
02-05-2009, 09:41 PM
Mujhay maloom hai Tum bhi
Meray bin rah nahi saktay
Main yeh bhi jaanta hon
Tum ko haar achi nahi lagti
mager jaana'n
Muhbbat may anna to haar jati hai....!
dont depend on others
02-05-2009, 09:44 PM
Ik nazar dekh luun aa jaao qazaa se pahale
Tum se milane ki tamannaa hai Khudaa se pahale
Hashr ke roz main puuchhuungaa Khudaa se pahale
Tuu ne rokaa nahin kyuun mujhako khataa se pahale
Ai meri maut thahar unako zaraa aane de
Zahar ka jaam na de mujhako davaa se pahale
Haath pahunche bhi na the zulf dotaa tak "Momin"
Hathakadi daal di zaalim ne khataa se pahale
dont depend on others
02-05-2009, 09:48 PM
Zindagi bewafa kion hoti hai?
Wafa kernay ki saza kion hoti hai?
Choti si baat pe baha dety hain KHOON
Insan mein itni ANA kion hoti hai?
Karta hun mein jis se bar baar TAUBA,
Elahi mujhse wohi KHATA kion hoti hai,
Banatay to hain hum apne haton se MASJID,
NAMAZ apni hi phir QAZA kion hoti hai..
dont depend on others
02-05-2009, 09:54 PM
Kabhi Khuwaabo K Jungle Main
Akelay Pann Ki Daldal Main
Kisi Sundal K Saaye Main
Kabhi Badal Ki Chatri Per
Kisi Din Taiz Barish Main
Kabhi Darya K Dharay Per
Kabhi Dukh K Kinaray Per
Kabhi Sahil Pai Likhty Hai
Kabhi Likh Ker Mitaty Hai
Kabhi Likhnay Se Pehlay Hi
Mita Ker Haansnay Lagty Hai
Kisi Din Shaam Se Pehlay
Mitana Bhool Jaaty Hai
To Saary Raat Rooty Hai
dont depend on others
02-05-2009, 09:54 PM
Kabhi Khuwaabo K Jungle Main
Akelay Pann Ki Daldal Main
Kisi Sundal K Saaye Main
Kabhi Badal Ki Chatri Per
Kisi Din Taiz Barish Main
Kabhi Darya K Dharay Per
Kabhi Dukh K Kinaray Per
Kabhi Sahil Pai Likhty Hai
Kabhi Likh Ker Mitaty Hai
Kabhi Likhnay Se Pehlay Hi
Mita Ker Haansnay Lagty Hai
Kisi Din Shaam Se Pehlay
Mitana Bhool Jaaty Hai
To Saary Raat Rooty Hai
momal ali
02-05-2009, 10:06 PM
its really awesom collection dont jee
dont depend on others
02-05-2009, 10:20 PM
thx 4 liking
dont depend on others
02-05-2009, 10:43 PM
Zra jo door jaty ho,
Tb ehsaas hota hy,
k baqi kuch nai rhta,
mry jeevan k angan mai,
mri khushyun k daman mai,
try bin kuch nai rhta,
udasi chai rhti hy,
sapnay adhooray say lgty hyn,
din sadiyun sy lgty hyn,
in ankhun ki jalti low madhum prny lgti hy,
umeedyn mrny lgti hyn,
try hathun sy mry hath,
achanak choot jaty hyn,
mry armaan roty hyn,
tjhy awaz dty hyn,
tjhy wapis bulaty hyn,
.
.
.
.
.
.
SUNO TUM LOOT AO NAA......
dont depend on others
02-05-2009, 10:44 PM
Ho chanda re chanda
Kuch tu hi bata mera afsana
Betaab hay kyun dil diwana
Kyun loog mujhye samjhat hain
Kyun sholon ko bharkate hain
Jalti houn magar maloom naheen
Main depak houn ya parwana
Kiya haadsa muj par guzra hay
Kiyun sahmi sahmi rahti houn
Ghabrayi huy kyun phirti houn
Hallat se ho kar begana
Armaan kahan tak machleen ge
Ek rooz yeh dil se nikleen ge
Baki hay kahan tak raat abhi
Yeh raat abhi
Kismat main hay kab tak verana
Kuch tu hi bata
ShArArTi MuNdA
02-06-2009, 06:12 AM
nyx collection buddy
dont depend on others
02-06-2009, 09:40 PM
thx sm
dont depend on others
02-07-2009, 12:09 AM
Is shehre kharabi mein ghame ishq ke maray
Zinda hain, yehi baat bari baat hai piyare
Hasrat hai, koi guncha hume pyar se dekhay
Arman hai, koi phool hume dil se pukare
Kuch aur bhi hain kaam humein ghame janan
Kab tak koi uljhi hoee zulfun ko sunware
Ye hansta hua chand, ye pur noor sitare
Tabinda o painda hain zarron ke sahare
Har subh, meri subh pe rotee rahi shabnam
Har raat, meri raat pe hanste rahe taaray
dont depend on others
02-07-2009, 12:11 AM
Likhe parhe hote agar
To tum ko khat likhte
Us khat main tumeen hum
Kiya kiya likhne k bahane likhte
Kuch khawab adhure likhte
Kuch geet suhane likhte
Jo baat abhi tak tum se
Ghabra kar bool na paye
Jo bheet tumare age
Sharma kar khool na paye
Apna dewana pan to
Khol kar dewane likhte
Likhte k ghani barkha main
Suraj ki kiran lagti ho
Sawan ki ghata main lipta
Chanda ka badan lagti ho
Yadoon main tumari kho kar
Hum bhi afsane likhte
Jab shaam ko thandi thandi
Dakhan se hawa ati hay
Har sans main dhimi dhimi
Ek aag laga jati hay
Kat te hain tumare gham main
Kaise woh zamane likhte
dont depend on others
02-07-2009, 12:11 AM
Likhe parhe hote agar
To tum ko khat likhte
Us khat main tumeen hum
Kiya kiya likhne k bahane likhte
Kuch khawab adhure likhte
Kuch geet suhane likhte
Jo baat abhi tak tum se
Ghabra kar bool na paye
Jo bheet tumare age
Sharma kar khool na paye
Apna dewana pan to
Khol kar dewane likhte
Likhte k ghani barkha main
Suraj ki kiran lagti ho
Sawan ki ghata main lipta
Chanda ka badan lagti ho
Yadoon main tumari kho kar
Hum bhi afsane likhte
Jab shaam ko thandi thandi
Dakhan se hawa ati hay
Har sans main dhimi dhimi
Ek aag laga jati hay
Kat te hain tumare gham main
Kaise woh zamane likhte
dont depend on others
02-07-2009, 12:13 AM
woh mehfilon ki jaan hai dunya ke waaste
mughe se wahan mila tha jahan koi bhi na mila
meri dunya mein kisi roz sawera hota
tu kisi roop mein aata aur mera hota
gham jo mile the hum ko hamara naseeb tha
dunya ne un ko aur bhi nasoor ker diya
rafta rafta zeest humein le aae aise dora hai par
yaad rakha dunya dari ko aur mohabbat bhool gaye
ghairon se alt-fat pe toka to yun kaha
dunya mein baat bhi na karien kiya kisi se hum
kuch aur ker lo humein gawara ke doston
hum jaise log phir kahan dunya mein aaenge
mil na saka ager dil ko pyarr tumhara
aana pare ga mughe ko dunya mein dobara
yeh dunya hai jahan baatein banana sab ko aata hai
hazaroon pyarr kerte hain nibhana kis ko aata hai
dont depend on others
02-07-2009, 12:25 AM
*** ITNEY KHUWAB KAHAN RAKHON GA ***
Itney Khuwab Kahan Rakhon Ga?
Aankhon k Bazaaz Mein Ab To
Till Dharney Ki Jagah Nahi Hay
Main Itney Khuwab Kahan Rakhon Ga?
Palkon Ki Chokhat Pe Kharey Hain
Bantey Mit-tey Kya Kya Manzar
Kitnii Umeedon k Chehrey
Kitney Imkaano'n k Paikar
Haathon Mein Phoolon k Gajrey
Pairon Mein Khushboo Ki Jhanjhar
Lafzon k Resham Mein Uljhay Qaus-o-Qaza Se Waaday Hain Kuch
Jin Ki Laakhon Girhein Teri Ik Nazar Se khul Jatii Hain
Aur Qataarein Baandh k Aatii Kuch Yaadein Hain
Jin k Gard Mein Liptii Raahein Aik Khabar Se Dhul Jatii Hain
Jeewan Aik Tarazoo Jis k Ik Palrrey Mein
Tery Wasal k Khuwab Rakhein To
Duniya Bhar Ki Sari Khushiyan Tul Jati Hain
Sham Ayi Hay
Taara Taara Jaltay Bujhtey Khuwab Liye
Phir Sham Ayi Hay
Har Ik Khuwab k Sarnaamey Par
Apney Jagmag Haath Se Tu Ne
Mery Naam k Harf Likhey Hain
Aur Merii Aankhon Ka Qariya, Un ki Manzil Darj Kiya Hay
Lekin Jaana!
Ab k Tu Phir Taabeeron Ka Khana Bharna
Bhool Gayii Hay...!!!
ShArArTi MuNdA
02-07-2009, 12:28 AM
nice collection budddy
dont depend on others
02-07-2009, 12:34 AM
Khuda ham ko aisi kamai na de
ke acha bura kuch dikhai na de
sitamgar koi phir nya zakhm de
kahin tug ko ye dil bhula hi na de
gunah e be lazat ke kail nahin
wo kaisa gunah jo maza hi na de
kabhi kuch bhi aisa kya hi nahin
jis ke liye dil gawahi na de
jise sach ko likhne ki jurrat na ho
kalam ham ko aisa elahi na de
ata ho nazar ko wo wusaat shakeel
ke uss ke siwa kuch dikhai na de
dont depend on others
02-07-2009, 12:37 AM
aankho mein kyu aansu jhalak jate hai,
tanhaiyo mein kyoon gum yaad aate hai,
aansu pochkar koi ye bata de hame,
dur rehne wale aksar kyo yaad aate hai.
Mana yeh waqt humain yaad karne wala nahi,
par bewaqt hi yaad kar liya karo,
mana aapke aas pass saari duniya hai,
kabhi humari kami ka bhi ahsaas kar liya karo.
Yaqdon me hamari woh bhi khoe honge,
khuli ankho se kabhi vo bhi soe honge,
mana hasna hai ada gam chupane ki,
par haste-haste kabhi who bhi roye honge.
Gam ki aahat bhi na aye tere dar par,
pyar ke samunder ka tum hi ek kinara ho,
kabhi bhool se jo tapke teri aankh se moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho.
dont depend on others
02-07-2009, 12:43 AM
Jab Dour Ho To Mera,
Tasavvur Na Chorna Aye Dost!!!
Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch
le Mushkil Bahut Hai,
Rishton Ki Zanjeerain hain Torna
main shayar to nahi….
magar ae haseen…
jab se dekha.. maine tujhko
mojhko shayari aa gayi
log kaato se bachkar chalte hai aur hum
hai jinhone phulose chot khaye hai
phool khilte nahi
khusboo unhe khilati hai
ladke bigadte nahi
ladkiya bigadti hai
Dast-e-Tanhai
02-07-2009, 08:14 PM
very nice
life2
02-08-2009, 08:37 PM
hum muhabbat main bhi tauheed k qaeell hain "faraz"
aik hee shahks ko mehboubb bnaye rakhna
Dast-e-Tanhai
02-09-2009, 04:51 PM
gud
life2
02-10-2009, 11:41 PM
Rakhe khuda ne do rastey mujhe aazmaney k liye
Wo chor de mujhe,ya main chor doon usey,zamaney k liye
Nahin ki mainy zindagi main koi bhi naikii
par parhii hen kuch namazain usey paney k liye
-|A|-
02-13-2009, 08:30 PM
good workd
life2
02-13-2009, 10:00 PM
Aana parast hai wo jant3 hain hum lekin
Wo khud bhulay3 ga is baat ka yaq33n bhi hai!!
dont depend on others
02-14-2009, 05:39 PM
thx allz
momal ali
02-14-2009, 05:41 PM
very nyc frndz keep it up
dont depend on others
02-15-2009, 06:39 PM
thx
life2
02-15-2009, 09:13 PM
Is qaid se rihaii ka matlab bhi maut hai
PiNjaray se vo nikaalega gardan maroR ke
dont depend on others
02-16-2009, 05:41 PM
Aye roshniyon k shehar bata
Ujiaroon main andiharon ka
Yeh kis ne bhara hay zaher bata
Sarkon pe haseen ethlate hain
Gadraye badan bal khate hain
Chalke sagar takrate hain
Jismon ki numaish hoti hay
Kyun raat ko pichle paher bata
Tahzeeb nayi shetani hay
Besharmi hay uryani hay
Yeh doour bara tufani hay
Jo sharmo haya ko le dubi
Ayi woh kahan se laher bata
Bechani hay be zari hay
Badhali hay badkari hay
Tahzeeb nayi changari hay
Ek aag lagi hay char taraf
Yeh kaisa macha hay kaher bata
dont depend on others
02-16-2009, 05:42 PM
Tum ko mubarak khushi
Mere liye gham sahi
Meri mohbbat meri wafa ka
Shayad sila tha yehi
Main ne dil lutne ka tamasha
Pathar ban k dekha
Pyar k badle dard mila hay
Kiya khoya kiya paya
Muj ko shikayat
Taqdeer se hay
Tum se naheen shikwa
Sath guzare the jo hum ne
Woh lamhaat bhula do
Pal do pal ka sath tha apna
Tum woh sath bhula do
Pyar ki kasmeen pyar k wahde
Har ek baat bhula do
dont depend on others
02-16-2009, 05:44 PM
Haakim-e-shehar bata !
Waqt kay shikanjon ne
Khuwahishon ke pholoon ko
Noch Noch Torra hai.......
kiya yeh zulm thora hai?
Dard ke jazeeron ne
Aarzoo ke jeewan ko
Maqbroon main dala hai
Zulmaton ke deray hain.....
log sab luteray hain
Maut rooth baithi hai
Zaat Raiza Raiza hai
Zindagi tere hathon
Pamaal hai janaan......
ik sawal hai janaaan!
Kaisay maan loon jeewan?
Saans hi nahin koi
Karb karb lamhay yeh
Baar baar dastay hain......
log hum pe hanstay hain
Taar Taar Aanchal hai
Dard Dard jeewan hai
Shabnami si palkain hain
Qurb hai na doori hai ....
Zindagi adhooori hai
Ab yaqeeen aaya hai ....
Maut bhi zaroori hai...!
dont depend on others
02-16-2009, 05:53 PM
Lai ghata motiyon ka khazana
Aya baharoon ka mousam suhana
Aankhon se masti chalke
Shanon pe gasu dhalken
Jhonke jo hawa k ayeen
Dil rah jaye machal k
Aanchal jo mera lahraya
Har shy pe nasha sa chaya
Aankheen jo teri shrmayin
Galon pe pasina aya
Lai ghata motiyon ka khazana
Aya baharoon ka mousam suhana
dont depend on others
02-16-2009, 05:53 PM
Lai ghata motiyon ka khazana
Aya baharoon ka mousam suhana
Aankhon se masti chalke
Shanon pe gasu dhalken
Jhonke jo hawa k ayeen
Dil rah jaye machal k
Aanchal jo mera lahraya
Har shy pe nasha sa chaya
Aankheen jo teri shrmayin
Galon pe pasina aya
Lai ghata motiyon ka khazana
Aya baharoon ka mousam suhana
mubashara
02-16-2009, 06:03 PM
very nice all of u all of u :flower4u:
dont depend on others
02-16-2009, 07:13 PM
thx 4 liking
life2
02-16-2009, 09:32 PM
Hasrat Ye Hai Ki Ek Nazar Tujhe Dekh Lu
Magar Kismat Wo Lamha Naa Laye To Kya Karu
__________________
dont depend on others
02-16-2009, 11:44 PM
thx buddy
ShArArTi MuNdA
02-17-2009, 06:30 AM
nice collection dude
-|A|-
02-17-2009, 08:56 PM
Nice haan
dont depend on others
02-17-2009, 09:40 PM
Koi to ho aisa jo sirf mera ho
Baton me unki khushbu ho
Dil me unka basera ho
Chahy to chahat meri
Mangy to mohabbat meri
Wo chand ki chandni ho to
Chand sirf mera ho
Wo falak ki roshni ho to
Suraj sirf mera ho
Wo pholon ki khushbo ho to
Ehsas sirf mera ho
Wo falak ka ujala ho to
Charagh sirf mera ho
Wo ishq or mohabbat ho to
Dil sirf mera ho
Wo pani ka cheenta ho to
Darya sirf mera ho
Wo kismat ki lakeer ho to
Hath Sirf mera Ho.
dont depend on others
02-17-2009, 09:42 PM
Jan_e_man itna bata do
Mohabbat
Mohabbat
Mohabbat hay kiya
Dard yeh kaisa deya hay
Yeh lazat
Yeh lazat
Yeh lazat hay kiya
Zulf lahrane lagi
Aankheen sharmane lageen
Hosh aaj naheen
Bekhudi chane lagi
Muj ko dewana kiya yeh
Shararat
Shararat
Shararat hay kiya
Dil se ati hay sada
Kasi apnon se haya
Maang le un se unheen
Jaan kar un pe fida
Aarzu kitni haseen hay
Yeh chahat
Yeh chahat
Yeh chahat hay kiya
Baat kuch asi bani
Ho gayi duniya haseen
Khud ba khud jhukne lagi
Tere qadmon pe jabeen
Dekhti jaoun tujhye main
Yeh hasrat
Yeh hasrat
Yeh hasrat hay kiya
dont depend on others
02-17-2009, 09:44 PM
Yahen Rehty hain Lekin Shehar Se Nata Nahi koi
Parey hain Aisey goshey Mein Jidher Aata Nahi koi
Humare Dil Ke Andar Roz Eik Sooraj Utarta hai
Yeh wo Darya hai Jis Se loUt Kar jata Nahi koi,
Humein Sab Shakh Se taota hUa Patta Smajhtey hain
Bhatak jaien to hum Ko Raah Par Lata Nahi koi,
Sada e BaazGasht Aati Nahi Ab Ke Paharon Se
Tujhe Aawaz dEta hoon tO dohrata Nahi koi,
Jo Dekha hai Wo Aankhon Pe Yaqeen Karney Nahi Daita
JO Socha hAi woh Khud Ko Bhi Bata Pata Nahi koi,
Mere Seenay Ke Ander Kia koi Jadoo Ki Nagri hai?
Sada Aati hAi Lekin Samney Aata Nahi kOi,
Meray MOLA mUjhey Phir Se wohi JaNnat Ata Kar Dey
Zamana ho Gya hAi mUjh Ko Behkata Nahi kOi,
Teray Ghar Ka Pata Maloom hAi Mere Siwa Sab Ko
Kisi Ko POoch Lo to Simat Batlaata Nahi koi,
Mujhe Maloom hAi tu Sang-Dil hAi Be-Murawat hai
Mere Dil Ko Magar Tere Siwa Bhata Nahi koi,
Agar Yeh Bhi Barasney Lag Parien to Mera Kya hoga?
Ghataaon Ke Siwa Mere Sar Pe Chhaata Nahi koi,
Kisi Ko Maal deta hai Kisi Ko Sabar deta hAi
Sakhi tujh Sa Do Aalaam Mein Meray Data Nahi koi,
Zara Si Baat Par "MOIN" dunYa Choar Di tUm Ne
Arey Apney Kiye Par youn tO Pachta-ta Nahi kOi.
dont depend on others
02-17-2009, 09:46 PM
Aaoo is saal mohabbat ki
Kasam khayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Zindagi bhar k liye
Hum tere ho jayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Teri sansoon ki mehak
Mere sanson main base
Rang chahat ka sanam
Mere hathon main rache
Kyun na ek roup main do
Roup yeh dhal jayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Ab na bichren ge kabhi
Dil se dil ase mileen
Aarzuon k kanwal
Aaj kuch ase khileen
Nikhra nikhra sa nazar
Ane laga hay mousam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Gungunati hay faza
Jhuum uthi bad_e_saba
Pyar k jaam liye
Aa gayi kali ghataa
Jaam ulfat k piyeen aur
Bahak jayeen qadam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
dont depend on others
02-17-2009, 09:56 PM
Vo Sari Baatein Khuwaab Huien
Aur Khuwaab Se Phir Azaab Huien
Jab Tum Ko Saba k Jhonkay Se
Paigham Hamara Milta Tha
Jab Meri Ik Nazar Se Hi
Chehra Yeh Tumhara Khilta Tha
Kuch Yaad Sa Tum Ko Hay Jaana
Jab Phone Ki Aadat Roz Ki Thi
Kuch Dair Jo Mujh Ko Ho Jati
Tum Ghantoon Rootha Karti Thi
Kabhi Geeton Ki Kabhi Shairon Ki
Tum Khuwahish Mujh Se Karti Thi
Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se
Mery Chehrey Se Meri Aankhon Se
Aur Jhank k Meri Aankhon Mein
Tum Khud Ko Dhoonda Karti Thi
Ik Do Din Dekh Na Pao To
Tum BeKal BeKal Rehti Thi
Aur Ab To Aisa Aalam Hay
Koi Chahat Hay Na Ulfat Hay
Kya Pyar Muhabbat Aur Wafa
Iss Zikar Se Tum Ko Vehshat Hay
Main Lakh Tasalli Khud Ko Doon
k Ab b Teri Khuwahish Hoon
Anjaan Bazahir Lagtay Ho
Main Ab b Tera Mehwar Hoon
Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay
Kab Tak Dil Ko Behlaye Ga
Do Pal Ki Khushian De Kar Yeh
Mujhay Sadiyan Lahoo Rulaye Ga
Kiun Tum Taqdeer Se Lartay Ho?
dont depend on others
02-17-2009, 09:57 PM
Aaj aisa kertay hein
Be sadda lafzon main
Wajh-e-zindagi keh ke
Wasl ki zaroorat par
Phir se zoor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron se
Dard aan lipta hai
Toot-tay kinaaray ab
Dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Dard se ulajhtay hein
Zabt choor detay hein
Taar Taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishein bhula ke hum
Aa ke joor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Khud nahin palat-tay hein
Raah moor detay hein
Sabz sabz mausam main
Laal laal aankhon ke
Khwaab ki ragoon se hum
Khoon nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab toor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar ke alwidaa
Mauqa aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rabb pe chor detay hein
dont depend on others
02-17-2009, 10:00 PM
Kuch Aur Rauz Meri Jaan Faqat Kuch Hi Rauz
Zulm Ki Chaaon Main Dum Lene Pe Majboor Hain Hum
Aur Kuch Dair Sitam Seh Lain Tarap Lain Ro Lain
Apne Milan Ki Raatein Hain Aur Majboor Hain Hum
Jism Par Qaid Hai Jazbaat Pe Zanjeerein Hain
Fikr_E_Mehboob Hai Aur Dil Main Aarzooyein Hain
Apni Himmat Hai Ke Hum Phir Bhi Jiye Jaate Hain
Lekin Ab Zulm Ki Miyaad Ke Din Thore Hain
Ik Zara Sabar Ke Faryaad Ke Din Thore Hain
Arsa_E_Daraz Ki Lipti Huyi Veerani Main
Hum Ko Rehna Hai Par Yun Hi To Nahin Rehna
Is Zaalim Zamaane Ka Beshumaar Sitam
Kuch Din Sehna Hai Hamesha To Nahin Sehna Hai
Ye Tere Husn Se Lipti Huyi Mere Ishq Ki Daastaan
Apni Do Roza Jawani Ki Shikaston Ka Shumaar
Chandni Raaton Ka Bekaar Behakta Huya Dard
Dil Ki Be Intiha Tarap Jism Ki Mayoos Pukaar
Kuch Rauz Meri Jaan Faqat Kuch Hi Rauz
life2
02-17-2009, 10:19 PM
Yeh Mana Kay Sheesha -e- Dil Ronaq -e- Bazar -e- Ulfat Hai
Mager Jab Toot Jata Hai Tu Keemat Or Hoti Hai
dont depend on others
02-18-2009, 03:59 PM
MERI YAAD AAYE GI
Zakhmon ko hawa do gay
Meri yaad aaye gi
Kisi ko bhi dagha do gay
Meri yaad aaye gi
Khincho gay rait par meri tasvir barha
Phir us ko mitaao gay
Meri yaad aaye gi
Darya ke behtey paani main parchhaain dekh kar
Zulfon ko sanwaaro gay
Meri yaad aate gi
Bai chain ho ke yaadon se meri kabhi kabhi
Jaago gay na bolo gay
Meri yaad aaye gi
dont depend on others
02-18-2009, 04:01 PM
SAAT CHHUTEY GA
Saath chhutey ga kaise mera aap ka
Jub mera dil hi ghar ban gaya aap ka
Aap aaye bari umar hai aap ki
Bas abhi naam main ne liya aap ka
Dur hai mujh ko na badnaam kar den kahin
Is tarah payar se dekhna aap ka
Aap ki ik nazar kar gayi kiya asar
Mera dil tha mera, ho gaya aap ka
dont depend on others
02-18-2009, 04:03 PM
Phool mehkey hain
Baharon pe nikhar aya hay
Mera mehboob hay ya
Jaan_e_bahar aya hay
Koun aya hay k har shy pe
Khumaar aya hay
Mera mehboob hay ya
Jaan_e_bahar aya hay
Kitne viranoon se guzre
To bahar ayi hay
Aa teri zulf k saye main
Zara dam le loun
Aye musafir meri janat hay
Tere qadmoon main
Aa khushi de k tujhye
Main tere sab gham le loun
Tere milne se mere dil ko
Karaar aya hay
Jhuum k main teri aagosh
Main aa jaoun magar
Kabhi tuj se kabhi phulon
Se haya ayi hay
Ab yeh shrmana simatna
Yeh jijakna kaisa
Zindagi khawabon ki
Duniya se guzar ayi hay
Tuj pe dewana tera
Hone nisaar aya hay
Mere mehboob tujhye
Rasmain wafa yaad rahe
Jurm_e_ulfat main suna hay
K saza milti hay
Jab mohabbat hay to har
Ek sitam sah leen ge
Pyar walon ko mile jo
Bhi saza milti hay
Har sitam sahne ko
Is duniya main pyar aya hay
Mera mehboob hay ya
Jaan_e_bahar aya hay
dont depend on others
02-18-2009, 04:07 PM
Her bar jo tum ik nia khwab dae ja tay ho
Kia tum nae kabi socha hi
Tumare in kahboown ko main darken
Bana rakhti hown
Kabi chupa ti hown dunia sae
Kabi aankhoon main sjaa rakhti hown
Per jab yea khawab tott tae hain
In ki kirchian dil
Ko zakhmi kerti hain
Dil chup rahta hi
Per aankhain brasti hain
Main nahi kah ti ka mujae
tarpahoo na
per apnae miln ka khawab
mujae dae jahoo na
kuin kae yea khawab talwar
bun kae dansta hi
dikha kay miln, intazar
bun kae dansta hi
Aankhain sumnder ho gahin
dont depend on others
02-18-2009, 04:09 PM
*~*ULJHAY DHAAGAY*~*
Tumne uljhe hue dhagoN ko kbi dekha haI..
Apne hi ap mein uljhe hue kachey dhagaY..
Jo apne ap mein hi reh gaey hon gunjal bn kR..
Apne wajood ki gehraiyoN mein ik uljhan bn kR..
Tarha tarha se uljhe, jaga jaga se kharaB..
Jo agr chahein b k sanwaar lein muqaddar apnA..
Tou apni hi zat ka sira dhoondh dhoondh k thak jaeiN..
Wohi rngeen se dhaagay jo kbi thy misl-e-dhanaK. .
Aj apne ap mein yun uljhe hain k sulajhtey hi nhI..
Shaoq-e-tmasha hai tou kisi roz mujhe milne aO..
Tumne uljhey hue dhagon ko nhi dekha agR..!
dont depend on others
02-18-2009, 04:12 PM
Kuch loog ruth kar bhi
Lagte hain kitne pyare
Chup rah k bhi nazar main
Hain pyar k isharee
Hum un pe berukhi ka
Ilzaam kyun lagayeen
Un ki jafa ka aye dil
Hum kyun bura manayeen
Jo chayeen ab kareen woh
Dil pe sitam hamare
Is dil main kaise kaise
Tufaan machal rahe hain
Apni hi aag main hum
Chup chaap jal rahe hain
Hain kitne khubsurat
Is aag k shararee
dont depend on others
02-18-2009, 09:42 PM
thx safa jee
ShahTaJ
02-19-2009, 02:56 AM
v nice
dont depend on others
02-19-2009, 02:05 PM
thx
Jhuki Palkein
02-21-2009, 03:04 PM
Yahen Rehty hain Lekin Shehar Se Nata Nahi koi
Parey hain Aisey goshey Mein Jidher Aata Nahi koi
Humare Dil Ke Andar Roz Eik Sooraj Utarta hai
Yeh wo Darya hai Jis Se loUt Kar jata Nahi koi,
Humein Sab Shakh Se taota hUa Patta Smajhtey hain
Bhatak jaien to hum Ko Raah Par Lata Nahi koi,
Sada e BaazGasht Aati Nahi Ab Ke Paharon Se
Tujhe Aawaz dEta hoon tO dohrata Nahi koi,
Jo Dekha hai Wo Aankhon Pe Yaqeen Karney Nahi Daita
JO Socha hAi woh Khud Ko Bhi Bata Pata Nahi koi,
Mere Seenay Ke Ander Kia koi Jadoo Ki Nagri hai?
Sada Aati hAi Lekin Samney Aata Nahi kOi,
Meray MOLA mUjhey Phir Se wohi JaNnat Ata Kar Dey
Zamana ho Gya hAi mUjh Ko Behkata Nahi kOi,
Teray Ghar Ka Pata Maloom hAi Mere Siwa Sab Ko
Kisi Ko POoch Lo to Simat Batlaata Nahi koi,
Mujhe Maloom hAi tu Sang-Dil hAi Be-Murawat hai
Mere Dil Ko Magar Tere Siwa Bhata Nahi koi,
Agar Yeh Bhi Barasney Lag Parien to Mera Kya hoga?
Ghataaon Ke Siwa Mere Sar Pe Chhaata Nahi koi,
Kisi Ko Maal deta hai Kisi Ko Sabar deta hAi
Sakhi tujh Sa Do Aalaam Mein Meray Data Nahi koi,
Zara Si Baat Par "MOIN" dunYa Choar Di tUm Ne
Arey Apney Kiye Par youn tO Pachta-ta Nahi kOi.
Wah, Bohat Khoob ,.
Har Lafz Dard Mein Dooba Hua Hai,.
I Just Noticed This Thread,.
Awesome Collection Prince Jee,.
humaa
02-21-2009, 03:30 PM
nicee sharing
dont depend on others
02-21-2009, 05:34 PM
Yahan shama jalti naheen aas ki
Yahan sard hay aag ehsaas ki
Mujhye apni duniya main
Wapas bula le
Koy hasrat naheen
Koy armaan naheen
Koy halchal naheen
Koy tufaan naheen
Zindagi jam gayi
Justju kho gayi
Mujhye kyun kiya hay
Ghamoon k hawale
Mujhye apni duniya main
Wapas bula le
Aye mere raazdaan
A gayi main kahan
Har taraf chaa gaya
Ab dhunwa hi dhunwaan
Ruk gayi hay nazir
Shaam hay na saher
Naheen is jahan main
Andhare ujale
Mujhye apni duniya main
Wapas bula le
dont depend on others
02-21-2009, 05:36 PM
Koi to ho aisa jo sirf mera ho
Baton me unki khushbu ho
Dil me unka basera ho
Chahy to chahat meri
Mangy to mohabbat meri
Wo chand ki chandni ho to
Chand sirf mera ho
Wo falak ki roshni ho to
Suraj sirf mera ho
Wo pholon ki khushbo ho to
Ehsas sirf mera ho
Wo falak ka ujala ho to
Charagh sirf mera ho
Wo ishq or mohabbat ho to
Dil sirf mera ho
Wo pani ka cheenta ho to
Darya sirf mera ho
Wo kismat ki lakeer ho to
Hath Sirf mera Ho.
dont depend on others
02-21-2009, 05:37 PM
Bewafai kaa ab gila kaisa
Aap pahle bhi kab hamare the
Meri aankhon main phailate hoye rang
Kal tak aap ko bhi pyare the
Nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
Gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho
Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
Bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi
Badi zaalim nihayat bewafaa hai
Ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai
Bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
Sirf do-char savalat kaa mauqa day day
Kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
Ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen
Mujhe mere mitana ka Gham hai to ye hai
Tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara
Na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
Woho muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage
Sar jukaoge to pathar devata ho jayega
Itana mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega
Teri bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye
dont depend on others
02-21-2009, 05:45 PM
!...EK TU TERI AWAZ YAAD AYE GE...!
ek tu teri awaz yaad aye ge
teri kahe hui har baat yaad aye ge
din dhal jaye ga raat yaad aye ge
har lamha pehli mulaqat yaad aye ge
kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati
yeh zindagi tere bin bhi kat jaye ge
per kuch kami ismain bhi tu reh jaye ge
dil ko tarpaye ge kabhi tarsaye ge
har lamha teri yaad ajaye ge....
dont depend on others
02-21-2009, 05:45 PM
!...EK TU TERI AWAZ YAAD AYE GE...!
ek tu teri awaz yaad aye ge
teri kahe hui har baat yaad aye ge
din dhal jaye ga raat yaad aye ge
har lamha pehli mulaqat yaad aye ge
kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati
yeh zindagi tere bin bhi kat jaye ge
per kuch kami ismain bhi tu reh jaye ge
dil ko tarpaye ge kabhi tarsaye ge
har lamha teri yaad ajaye ge....
dont depend on others
02-21-2009, 05:50 PM
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya
dont depend on others
02-21-2009, 05:53 PM
Waqt Ka Seel-e-Rawan
Jis Kay Us Paar Kahin Rakhi Hai
Gumshuda Umar Kay Lamhon Ki Kitab
Aur Iss Paar Faqat
Khawab Hi Khawab
Jo Bhi Rutt Aye Khila Kartay Hain
Teri Yaadon Kay Kanwal
Teri Judai Kay Gulab
dont depend on others
02-21-2009, 05:56 PM
Ik Raat Hui Barsat Bohat
Main Royi Sari Raat Bohat
Her Ghum tha Zamany ka lekin
May Tanha thi Us Raat Bohat
Phir Ankh se ik "SAWAN" Barsa
Jab Seher Hui to Khiyal Aya
Wo Badal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Sari Raat Bohat
dont depend on others
02-21-2009, 05:57 PM
Ik Raat Hui Barsat Bohat
Main Royi Sari Raat Bohat
Her Ghum tha Zamany ka lekin
May Tanha thi Us Raat Bohat
Phir Ankh se ik "SAWAN" Barsa
Jab Seher Hui to Khiyal Aya
Wo Badal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Sari Raat Bohat
dont depend on others
02-21-2009, 06:05 PM
Aaj mayanmar hai toofane nargis ka shikar
Hai galobal varming ka usape yah bharapoor var
Keejie rahe amal mil jul ke koee akhateyar
Varana aate hi rahainge yah havadis bar bar
Ho gae barabad lakhon hain hazaron la pata
Lautane ka log jinake kar rahe hain intezar
Ja baja bikhare hue hain har taraf lashon ke dher
Bach gae hain jo unhen hai ab madad ka intezar
Hai yah firat ke tavazun ke bigadane ka amal
Aa raha hai ek toofane havadis bar bar
Kyoon bigadata ja rah hai santulan parakriti ka
Log karate hi nahin is bat par koee vichar
Kyon kayoto sandhi par karata nahin koee amal
In masayal ke lie hai naie insan zimmedar
Ab bhi gar socha n is aagaz ke anjam par
Aaj mayanmar hai kal hoga isaka hamape var
Pahale rita aaya,fir katarina aur nargis ne aaj
Kar diya hai damane insaniyat ko tar tar
Aaj hai darakar unako bainulaaqavami madad
Jo hain mayanmar men toofane nargis ke shikar
Aaj hain har mulk ko darapesh aise sanahe
Pahale bangaladesh tha sailabo toofan ka shikar
Har tarah ka hai palooshan baise sohane rooh
Is se bajane kee karen tadabir fauran akhateyar
Vaqat kee hai zaroorat aaj ai ahamad ali
Rakhen fitarat ke tavazun ko hamesha baraqarar
dont depend on others
02-21-2009, 06:15 PM
Bohot yaad ayeen ge woh din
Mujhye tarpayeen ge woh din
Sanam teri kasam
Woh mera pouchna tuj se
K tuj ko pyar hay muj se
Woh tera muskara dena
Nigahoon ko jhuka lena
Mere khande pe sar rakh kar
Nifi main sar hela dena
Na bhule jayeen ge woh din
Sanam teri kasam
Khushi k khawab dekhla kar
Deya hay tu ne gham muj ko
Mera dil toor k humdam
Bata kiya mil gaya tuj ko
Teri yadoon ki mahfil main
Hamesha k liye dil main
Khalish ban jayeen ge woh din
Sanam teri kasam
dont depend on others
02-21-2009, 06:32 PM
Cheharaa meraa tha nigaahen us ki
Khaamushi men bhi vo baaten us ki
Mere chehare pe gazal likhati gain
Sher kahati hui aankhen us ki
Shokh lamhon ka pata dene lagin
Tez hoti hui saansen us ki
Aise mausam bhi guzaare ham ne
Subahen jab apani thin shaamen us ki
Dhyaan men us ke ye aalam tha kabhi
Aankh mahataab ki yaaden us ki
Faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
Aandhiyaan meri bahaaren us ki
Niind is soch se tuuti aksar
Kis tarah katati hain raaten us ki
Duur rah kar bhi sadaa rahati hai
Mujh ko thaame hue baahen us ki
dont depend on others
02-21-2009, 06:38 PM
suno aye Dost!
Kabhi Udaas hojao toh
Kabhi tanhayi ki raatain
Tumhain ziada sataein toh
Kabhi titli na bole toh
Aur jugnoo lout jaye toh
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaayein toh
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahte huye bhi khud akele
Ro na paao toh
Apni aankhon ko band karna
Mujhe aawaz de dena
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho batein keh dena
Meray kaandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao toh
Us he duniya chale jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamein dil se pukaro gay …….Hamein tum saath pao gay
dont depend on others
02-21-2009, 06:39 PM
suno aye Dost!
Kabhi Udaas hojao toh
Kabhi tanhayi ki raatain
Tumhain ziada sataein toh
Kabhi titli na bole toh
Aur jugnoo lout jaye toh
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaayein toh
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahte huye bhi khud akele
Ro na paao toh
Apni aankhon ko band karna
Mujhe aawaz de dena
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho batein keh dena
Meray kaandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao toh
Us he duniya chale jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamein dil se pukaro gay …….Hamein tum saath pao gay
dont depend on others
02-21-2009, 06:45 PM
thx
dont depend on others
02-21-2009, 06:46 PM
Koy kisi ka dard na jane
Haye zamane
Sab hi begane hain yahan
Sukh main yeh duniya
Bahoon main ghere
Dukh jo pare to aankheen phere
Pal main tore sath pourane
Haye zamane
Sab hi begane hain yahan
Jitye the ab tak jin k sahare
Ban gaye dushman aaj hamare
Koun kisi ko apna jane
Haye zamane
Sab hi begane hain yahan
dont depend on others
02-21-2009, 06:46 PM
Din raat khayalon main
Tujhye pyar karon ga
Par naam tera le k
Main awaaz na doon ga
Shaam_o_sahar tasver teri
Phirti hi rahe gi nigahon main
Sapnoon main la kar tuj ko
So jaoun ga teri bahoon main
Sathi ryeeeeeeeeeeeeee
Tu hi tu hay sadaoon main
Main yunhi akele main
Sada ahhh bharon ga
Aankhoon main sansoon main tu
Meri chaha main tu
Mere pyar main tu
Geetoon main bolon main tu
Mere tuute dil k taar main tu
Sathi ryeeeeeeeeeeeeeeee
Tu hi meri duaooun main
Duniya main jahan bhi rahoon
Tera hi rahoon ga
Par naam tera le k
Main awaaz na doon ga
!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-22-2009, 09:19 PM
very nice
Jhuki Palkein
02-22-2009, 10:41 PM
Koyi Kisi Ka Dard Na Jaane,.
- This One Is Brilliant!
Keep It Up Prince Jee,.
dont depend on others
02-23-2009, 01:12 PM
thx dear
momal ali
02-23-2009, 01:18 PM
very nyc ..
Silent Smile
02-23-2009, 01:33 PM
nice sharing..........
dont depend on others
02-23-2009, 10:29 PM
thx dear
Silent Smile
02-24-2009, 03:05 PM
welcome....
guuNj
uuNche pahaaRoN meN gum hotii
pag-danDii par
khaRaa hu’aa nanhaa charvaahaa
bakrii ke bachche ko phisaltaa dekh ke
kuch is tarah haNsaa
vaadii kii har darz se
jharne phuuT rahe haiN
Parveen Shakir
dont depend on others
02-24-2009, 05:49 PM
Dard Lain Ge Na Hum Dawa Lain Ge
Apne Hisse Ki Kuch Saza Lain Ge
Baat Wo Jo Kabhi Hoi He Nahi
Hum Usi Baat Ka Maza Lain Ge
Loog Waise Bhi Aazmate Hain
Loog Aise Bhi Aazma Lain Ge
Kaanch Sa Dil Kahan Pe Rakho Ge
Loog Pathar Agar Utha Lain Ge
Tum Bhi Soraj Ko Samne Rakhna
Hum Bhi Apne Diye Jala Lain Ge
Wo Agar Bun Gaya Koi Manzar
Hum Use Aankh Main Saja Lain Ge
Wo Ujala Hai , Hum Ujaale Ko
Dil-E-Tareek Mein Chupa Lain Ge
dont depend on others
02-24-2009, 05:55 PM
Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi
Rakh sakun in zakhmo pe marham.
Aisi dawa kuch bhi nahi
Mujh se na kar phoolon ki umeed.
Mere daman mein kaanton
ke siwa kuch bhi nahi
Na kar shikwa meri tanhai ka kabhi
Mere paas gham-e-judai
ke siwa kuch bhi nahi
Tu rahe hamesha ujaalon mein sanam
Meri zindagi mein andhere ke siwa kuch bhi nahi
Kyun main karun tujh se ab wafa ae zalim
Tere paas bewafai ke siwa kuch bhi nahi
Ab to na aaenge hum teri mehfil mein kabhi
Tere paas mere liye ruswai
ke siwa kuch bhi nahi
Tune na jana mere pyar ko kabhi
Tere seene mein paththar
dil ke siwa kuch bhi nahi
Kya cheer ke bataon main apna dil tujh ko
Mere dil mein tere zakhmo
ke siwa kuch bhi nahi
Ab aur na jala khud ko ae BABOO us ke liye
Wo to bewafa hai uske pyaar
mein tujhe hasil. Kuch bhi nahi..
dont depend on others
02-24-2009, 05:58 PM
Tum Chaho To Mujhe
Apne Seene Mein Chupa Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Ail Ki Har Baat Bata Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Sahra Se Nikal Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Saiban De Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Tapti Dhoop Se Bacha Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Apne Wajood Mein Chhupa Sakte Ho
Tum Chaho To
Ik Diya Roshni Ka Jala Sakte Ho
Tumhain Malom Hai Ke
Yeh Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chaho To
Isey Hans Kar Guzar Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Apni Zindagi Bana Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Apne Seene Mein Chhupa Sakte Ho
Tum Chaho To Mujhe
Apne Dil Ki Har Baat Bata Sakte Ho
Tum Chaho To Kia Nahi Kar Sakte
Tum Chaho To Sub Kuch Kar Saktae Ho
dont depend on others
02-24-2009, 05:59 PM
bata!
Raah_e_mohabat mein
chaloon main kis tarah,
tanha bina tere mere hamdam
chala mujh se nahi jata,
meri khushiyun ke sab kahkahe
tumhare bin adhoore hain,
mere sapne meri raatain
mere sab din adhoore hain,
mera sapna haqeeqat mein
jo yun tabdeel ho jae,
agar tum a milo mujh se
meri takmeel ho jae.
dont depend on others
02-24-2009, 05:59 PM
bata!
Raah_e_mohabat mein
chaloon main kis tarah,
tanha bina tere mere hamdam
chala mujh se nahi jata,
meri khushiyun ke sab kahkahe
tumhare bin adhoore hain,
mere sapne meri raatain
mere sab din adhoore hain,
mera sapna haqeeqat mein
jo yun tabdeel ho jae,
agar tum a milo mujh se
meri takmeel ho jae.
dont depend on others
02-24-2009, 06:00 PM
Bichr gaya hai to uska sath kia mangu,
Zra C umr hai ghum se nijat kia mangu,
Woh sath hota to hoti Zaroorten bhi bohut,
Akeli Zaat ke liye kainat kia mangu.
ShArArTi MuNdA
02-25-2009, 06:39 AM
nice collection
dont depend on others
02-25-2009, 12:47 PM
thx
momal ali
02-25-2009, 01:03 PM
very nyc collection
gudh 1
qisse terii nazar ne sunaaye na phir kabhii
ham ne bhii dil ke daaG dikhaaye na phir kabhii
ai yaad-e-dost aaj tuu jii bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr kii aaye na phir kabhii
dont depend on others
02-25-2009, 10:35 PM
thx
dont depend on others
02-26-2009, 12:03 PM
Rahe talab main koun kisi ka
Apne bhi begane hain
Chand se mukhre
Rashke gezalan
Sab jane pahchane hain
Tanhayi si tanhayi hay
Kaise kaheen
Kaise samjhayeen
Chashm o labo rukhsar ki tah main
Rouhoon k verane hain
Ufff yeh talashe husn o haqeqat
Kis ja thareen jayeen kahan
Sahen_e_chaman main
Phool khile hain
Sahraa main dewane hain
Bilakhir thak haar k yaroo
Hum ne bhi tasleem kiya
Apni zaat se ishq hay sacha
Baki sab afsane hain
dont depend on others
02-26-2009, 12:13 PM
Dar to mujhe kiskaa hai ke main kuch nahin kahtaa
Par haal ye afshaan hai ke main kuch nahin kahtaa
Naaseh ye gilaa hai ke main kuch nahin kahtaa
Tu kab meri suntaa hai ke main kuch nahin kahtaa
Kuch gair se honthon men kahe hai pe jo pucho
To vahin mukrtaa hai ke main kuch nahin kahtaa
Naaseh ko jo chahoon to abhi thik bana doon
Par khuf Khuda ka hai ke main kuch nahin kahtaa
Chupke se tere milne ka ghar valoon men tere
Is vaaste chrchaa hai ke main kuch nahin kahtaa
Ai charagro qabil-e-darman nahin ye dard
Varna mujhe sauda hai ke main kuch nahin kahtaa
Har waqt hai dushnaam har ek baat pe taanaa
Phir is pe bhi kahtaa hai ke main kuch nahin kahtaa
"Momin" baa-Khuda sihar beyaani ka jabhi tak
Har ek ko davaa hai ke main kuch nahin kahtaa
-|A|-
02-27-2009, 03:51 PM
nice yaar
dont depend on others
02-27-2009, 06:17 PM
thx buddy
Nida-H
02-28-2009, 02:21 PM
Nice collection..keep it up !!!
!«╬Ĵamil Malik╬«!
02-28-2009, 07:29 PM
v nce
dont depend on others
02-28-2009, 11:42 PM
thx both of ya
dont depend on others
03-04-2009, 05:48 PM
Mohabbat Kaisa bandhan hey?
Mohabbat Kaisa bandhan hey?
Meri tanhaian aksar ye mujhsy poocha karti han,
Mohabbat kaisa bandhan hey
Mohabbat kaisy hoti hey to me izhaar karti hoon,
Mohabbat aisa darya he,
Ke jis ma doob jany se bohat araam milta he.
Mohabbat aik khushboo he jo aik angan ma mahakti he,
Mohabbat aisa sawan he jo ankho se barasta he,
Mohabbat aisi basti he
K jisme rahny wala koi bhi piyasa nahi rehta,
Mohabbat aisi jeewan he
Jo marta he na mit ta he,
Mohabbat aisi shama he
Jo sari umer jalti he
Mohabbat aik chaon he ya MAAN ke piyaar jeisy he,
Mohabbat roop he RUB ka ya RUB ke piyaar jaisy he,
dont depend on others
03-04-2009, 05:50 PM
Kis nadaan se pyar kiya
Apna sab kuch luta deya
Hum hi the dewane
Pyar koy kiya jane
Dil ki tamana dil main rahi
Baat bani thi bighar gayi
Aas k sare deye bujhe
Pyar ki mehfil ujhar gayi
Pyar kya so bura kiya
Jo hona tha wohi huwa
Phulon k nazrane ko
Zahkm bana kar chale gaye
Aag lagane aye the
Aag laga kar chale gaye
Hum na un ko bhula sake
Dil ki lagi na bujha sake
Pal main huy duniya veran
Jane wale khub gaye
Dard ka ek tufaan utha
Sahel pe hum duub gaye
Apni mohabbat khub rahi
Jeti bazy haar gaye
dont depend on others
03-04-2009, 05:56 PM
ADDA
Tujhe apna dil paish karon ya
apni wafa paish karoon
kuch samajh main nahee aata
kai tujhe kya paish karoon
tere dil ko jo lubhiey
aise adda mujh main nahee
sochta hoon tujh ko tere he
IK adda paish karoon...... .
dont depend on others
03-04-2009, 06:00 PM
Main Aksar Socha Karta Tha Ke
Mohabbaton Mein Lute Loog
Kaise Hote Hain,
Wo Kaise Zinda Rehte Hain,
Kaise Baatain Karte Hain,
Ujri Shaklain Kaisi Hoti Hain,
Aakhir Mujhe Jawab Mil Gaya,
Haan Aaine Ne Sub Kuch Bata Dia,
Ke Aise Loog Tum Jaise Hote Hain,
"Bilkul Tum Jaise".
dont depend on others
03-04-2009, 06:06 PM
Ek Sanwali Si Larki
Mere Dil Ko Bhaa Gayi Hay
Nas Nas Main Bas Gayi Hay
Aankhon Pe Chaa Gayi Hay
Na Roup Hay Na Rangat
Na Chaal Dil Nasheen Hay
Aankhon Main Mastiyon Ka
Naam_o_Neshan Naheen Hay
Na Chera Phool Jaisa
Na Chaand Si Jabeen Hay
Phir Bhi Woh Jane Kaise
Dil Main Samaaa Gayi Hay
Surat Agar Naheen To
Andaaz Hi Ho Pyara
Us Ki Har Ek Ada Hay
Ek Aag Ka Shararaa
Khud Ko Samjh Rahi Hay
Shayad Shamem Aara
Kiya Jane Kiya Kashish Hay
Pagal Bana Gayi Hay
ALLAH Na Banaye
Magror Is Qadar Bhi
Aji Makhi Na Bathne De
Jo Apne Naak Par Bhi
Us Ko Naheen Gawara
Muj Jaisa Humsafar Bhi
Manzil Ka Raasta Bhi
Muj Ko Dekha Gayi
dont depend on others
03-04-2009, 06:13 PM
Dil Tum Ko De Deya Hay
Is Ka Khayal Rakhna
Yeh Dil Hay Besahara
Aye Naaznen KHUDARA
Is Ko Sunbhal Rakhna
Chera Hay Do Dilon Ne
Jo Pyaar Ka Fasana
Har Ek Qadam Pe Is Ko
Dohraye Yeh Zamana
Is Pyaar Ko Bana Kar
Asi Mesaal Rakhna
Tum Par Hay Naaz Muj Ko
Dil Par Mujhye Yaqeen Hay
Rah Jaye Jo Badal Kar
Yeh Pyaar Woh Naheen Hay
Tum Yeh Khayal Apne
Dil Se Nikal Rakhna
dont depend on others
03-04-2009, 06:14 PM
Tumhare Bin Jina Bada Dushwar Ho Raha Hai..
Tumhe Dekhne Ko Dil Ye Bekaraar Ho Raha Hai..
Dabi Huyee Chahate Meri Phir Samne Aa Rahi Hai
Tumse Milne Ki Lalak Din-B-Din Badthi Hi Jaa Rahi Hai
Kahan Tho Tumse Baat Kare Ek Din Bi Chain Na Aata
Ab Tho Ye Aalam Hai Ki Koyee Bi Hame Pyaar se Nahi Bulata
Tumhe Chahna Hamare Bas Main hai.. Bhulana Nahi
Main Janthi Hu Mere Naseeb Main Ab Tera Pyaar Nahi
Tho Kya Jho Huwa Tumne Mujhe Aaj Tukra Diya
Humne Tumhari Yaado Ko Apne Gale Se Laga Liya
Hamari Aankhon main Aaj Bi Tumahare Liye Hai Pyaar
Juda Huwe Jis Mod Per Karenge Wahii Phir Intezaar..
humaa
03-06-2009, 06:57 PM
v nice sharing
:)
dont depend on others
03-06-2009, 08:57 PM
Lafz, Pass_e_Lafz
Jo ham boltay hain, roltay hain
Kon sa lafz hai kholay ga jo dar maani ka
Iss ka pata kon karay?
Tum to Khushbu ho, Sitaaron ki guzargaah ho tum
Tum kahan aao gai iss dasht-e-purasrar ki pehnai main
Kaise utro gai tamannaon ki gehrai mai
Reh gaya main
So aye Jaan_e_Wafa
Mai to jo kuch hoon tumharay hi Kham_e_Chashm se hoon
Tum hi jab lafz, Pass_e_Lafz se aagah nahi
Kis tarah sehr-e-mafaheem ko darwaza khulay
Lafz ki kookh main taseer kahan se utray
Tum meray saath ho, Humraah nahi
Kon se khuwaab ke jagmag main nihaan hain ham tum
Kaise Girdaab_e_Tamanna mai rawaan hain ham tum
Lafz ka paar jo daikhain to koi raah nahi
Aur tum lafz,Pass_e_ Lafz se aagaah nahi
life2
03-06-2009, 10:27 PM
nice..
dont depend on others
03-07-2009, 06:33 PM
thankooo
life2
03-08-2009, 11:40 PM
aik aur dariyaa kaa saamanaa thaa 'Munir' mujh ko
main ek dariyaa ke paar utaraa to main ne dekhaa
A L i
03-11-2009, 12:00 AM
very nice jee
dont depend on others
04-16-2009, 09:37 AM
Abhi to dil main halki si
Khalish mahsos hoti hay
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Khayalon main yeh koun aya
Sitaroon ki chamak le kar
Mere shanoon pe bikhere hain
Yeh kis ki zulf k saye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Yeh kasi beykhudi hay
Dil main kaisa kaif chaya hay
Yeh meri jaagti aankhon main
Kaise khuwaab lahraye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Ruki hay zindagi ek
Muskarate moor pe a kar
Kaheen yeh muskarahat
Zindagi ka gham na ban jaye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
dont depend on others
04-16-2009, 09:38 AM
Yeh haseen wadiyan
Yeh samaan
Dekh kar dil mera
Gungunane laga
Geet gane laga
Muskarane laga
Har taraf noor ki
Yun faza chayi hay
Jase janat zameen pe
Utar ayi hay
Dil ki dharkan main
Kaliyan chatakne lageen
Phool ban ban k
Khushiyan mahekne lageen
Le k aya kidar
Yeh suhana safar
Khud rahi na humain
Aaj apni khabar
Yeh haseen wadiyan
Yeh samaan
dont depend on others
04-16-2009, 09:43 AM
To dil abaad hota hai
Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon pe khilta hai
Andherii raat mein jaise
Achaanak chaand baadal ke kisi kone se jhaankta hai
Aur saare manzaroon mein jaise roshnii sii phail jaati hai
Aur jaise larazti auus ke qatre pehan ke muskuraati hai
To khushboo baagh ki deewaar se rooke nahin rukti
Ussi khushboo ke dhaage se mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri saansoon mein saansoon mein khilta hai
Tumhein jab dekhta hoon jab safar ki shaam se pehle
Kisi uljhi hoi gumnaam si jinta ke jaadoo mein
Kisi soche joe benaam lamhe ki khushboo mein
Kisi mausam ke daman mein kisi khvaahish ke pehlo mein
To iss khushrang manzar mein tumhaarii yaad ka rasta
Najaane kis taraf phuut-ta hai
Aur phir aise mein mere hamraah chalta hai
Ke aankhoon mein sitaaaroon ki guzar-gaahein si banti hain
Dhanak ki kehkashaaein sii
Tumhaare naam ke in khusnuma lafzoon mein dhalti hain
Ke jin ke lams se hoonthoon pe jugno raqs karte hain
Tumhaare khvaab ka rista meri niindoon se milta hai
To dil abaad hota hai
Mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri raatoon mein khilta hai
dont depend on others
04-16-2009, 09:50 AM
Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera man tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
dont depend on others
04-16-2009, 09:51 AM
Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera man tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
dont depend on others
04-16-2009, 09:54 AM
Khwab ki tarha bikhar jane
ko je chahata hay
Asi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay
Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye
Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay
Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun
Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
K@IN@@T
04-21-2009, 02:24 PM
niceeeeeeeeeeeeeee
Zara_Ansu
04-22-2009, 09:27 PM
nice
dont depend on others
05-13-2009, 01:01 PM
thx guys thx 4 liking
SHAYAN
05-13-2009, 08:49 PM
Kya Baat Hai Osum... :0011:
dont depend on others
06-09-2009, 10:21 AM
MUj Ko Ghamain Hallat Ki Tasver Samjhna
Muj ko ghamain hallat ki tasver samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna
Afsana ghamain dil ka tujhe kaise sunaon
Tuuta jo sitam dil pe tujhe kaise bataoun
Is pyaar ko bighari huyi taqdeer samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna
Mana k judayi ka bohut zakham hay ghera
Main chup hoon k lab par hay riawayat ka pahra
Jo tuut naheen sakti woh zanjeer samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna
Chaha tha bohut main ne tera sath na chute
Hathon se kabhi tere mera haath na chute
Is khuwab ki kismat naheen tahber samjhna
Is khat ko meri akhari tahrer samjhna
dont depend on others
06-10-2009, 10:08 AM
meri zindagi ke Raaz main
aik Raaz tum bhi hoo
meri Bandagi ki Pyaas main
aik Pyaas tum bhi hoo
tum kiya hoo
kuch ho ya nahi hoo
Mager
meri Zindagi ke Kaash main
aik Kaash tum bhi hoo
life2
06-12-2009, 12:33 AM
cool
Palkein bhi chamk uthatin hein sootey mein hamari
Ankhoun ko abhi khawab chupana nahi atey.....
dont depend on others
06-12-2009, 12:08 PM
Tere binaa yun ghariyaan biteen
Jaise sadiyaan beet gayeen
Khud manzil ko thukraya hay
Majbori k saye hain
Tarikhi main hum ne apne
Dil k dag jalaye hain
Haar gaye do pyaar bhare dil
Zalim rasmeen jeet gayeen
Luut liya halaat ne hum ko
Tera jahan abaad rahe
Kaash humeen tu bhuul hi jaye
pyaar na tuj ko yaad rahe
patjhar hi anjaam tha jin ka
Ab woh bahareen beet gayeen!!!
dont depend on others
06-12-2009, 12:33 PM
Main to ashfata sahar tha pehly bhi
Dostoon k hathe main pathar tha pahly bhi
Chand lamhen kar li hum se dil lagi warna
Jafaoun pe amada sitamgar tha pahly bhi
Nakhuda choor gaya bhanwar main to kiya huwa
sahil to freeb nazar tha pahly bhi
Yeh aur baat a gaye chand lamhe nishat k
Tuj pe takiya to aye chasham tar tha pahly bhi
Daman jhatak liya kisi ne to kiya gilah
Main to gard rahguzar tha pahly bhi
Ziya dekh bhul gaya raftar apni
Andhera to apna humsafar tha pahly bhi
Abhi kirchiyaan jama bhi na huyen k phir tuut geya
hayee is baat ka dar tha pahly bhi...
dont depend on others
06-12-2009, 12:49 PM
Khirki, Chand, Kitab Aur main
Muddat Se ik Baab Aur main
Shab Bhar Khailain Apus main
Do Ankhain ik Khawab Aur main
Mouj Aur Kashti, Sahil par
Deriya main Gardab Aur main
Shaam, Udasi, Khamoshi
Kuch Kankar, Talaab aur main
Har Shab Pakray Jatay hain
Ghari Neend Khawab Aur main.
life2
06-12-2009, 06:59 PM
cute.
SADA MUSKURAATI RAHE YE
HAR DAM YE DUA MAIN KARTE HOON
dont depend on others
06-13-2009, 09:47 AM
cute.
SADA MUSKURAATI RAHE YE
HAR DAM YE DUA MAIN KARTE HOON
THX KEEP dua 4 ME
BOHAT ZARORAT HA DUAOON KI MUJAY
life2
06-13-2009, 12:37 PM
hmmmmmmm
inshallah..
dont depend on others
06-16-2009, 12:50 PM
Mohabbat zindagi hay
Aur tum meri mohabbat ho
Tumare pyaar ne dil main
Umangoon ko jagaya hay
Tumari muskarahat ne
Mujhaye jina sekhaya hay
Na ho taqdeer pe kyun naaz
Jab itni inayat ho
Naheen ab koy bhi armaan
Mere dil main tumain pa kar
Main yeh ikraar karta hoon
Mohabbat ki kasam kha kar
K mere wastey tumhi
Zamane bhar ki dolat ho
Mohabbat ne chalan
Sekha naheen hay beywafayi ka
Na aye ga humare darmiyan
Aik pal judayi ka
Woh dil kaise juda hoon ge
K jin main itni chahat ho
Tumare pyaar ki khushbo rachi hay
Meri sansoon main
Tumari aarzo ab tak saji hay
Meri aankhon main
Hamesha ki tara tum aaj bhi
is dil ki rahat ho !!!
dont depend on others
06-16-2009, 12:53 PM
sham-o-seihar aayeene mein khudd ko nihaaro gi.....
tou yaad aaoon ga.
apni zullfoun ko jab-jab tum sanwaaro gi....
tou yaad aaoon ga.
mujhhe bhool jaana, aasaan nahin , ittna samanjhh lo..
aanchal se bar-bar dudhiyya seena chhupaao gi....
tou yaad aaoon ga.
khuwaab mein bheege the, barsat mein ham douno ik bar
ab phir kabhi barsaat mein bheego gi.....
tou yaad aaoon ga.
yaad aaoon ga, udaasi ki, jo rutt aaye gi, kabhi
deikhna.....
ya jab tumm koi naya jashann mannaao gi....
tou yaad aaoon ga.
gullab deikho gi, apni kitaab mein, jab koi
sookha hooa,
apni naazik unglliyuon se, youn hi osse saihlaao gi
tou yaad aaoon ga.
parhte-parhte ghazzal meri, koi khuwaab jo aaya,
aai sannamm,
houlley-houlley subha ,jab ussey gunn-gunnaao gi....
tou yaad aaoon ga.
haathoun ka choora, aour maathey ki dilkash binndiyya
ki chammak-dammakk. ...
bade naaz se, jab unn ko, tann pe
sajjaao gi....
tou yaad aaoon ga.
K@IN@@T
06-16-2009, 12:58 PM
very nice collection
dont depend on others
06-16-2009, 01:06 PM
Le ura phir koy khayal humeen
Saakiya saakiya sunbhaal humeen
Ro rahe hain k aik adat hay
warna itna naheen malaal humeen
khalwati hain tere jamaal k hum
Aaine ki tara sunbhaal humeen
Marg anboh jashen shadi hay
Mil gaye dost hasbe haal humeen
Kiya touwaka kareen zamane se
Ho bhi gar jurate sawaal humeen
Hum yahan bhi naheen hain khush lekin
Apni mahfel se mat nikaal humeen
Hum tere dost hain faraz magar
Ab na uljhanoon main daal humeen.
dont depend on others
06-16-2009, 01:07 PM
Zindagi jab bhi teri bazam main lati hay humeen
Yeh zameen chaand se bahttar nazar ati hay humeen
Surkh pholoon se mahak uthti hain dil ki raheen
Din dhaly yun teri aawaz bulati hay humeen
Yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
Raat k pichaly pehar rooz jagati hay humeen
Har mulaqat ka anjaam judayi kyun hay
Ab to har waqt yehi baat satati hay humeen
dont depend on others
06-16-2009, 01:09 PM
Agar woh pyar kar laita,
Mera daman pakar laita,
To
Jeewan mein faqt us se,
Mohabbat farz ho jati,
Mohabat qarz ho jati,
Magar
Acha kia us ne,
Mujhe samjha ke chal nikla,
Mujhe thukra ke chal nikla,
Bohut nadan sa hai woh,
Abhi anjan sa hai woh,
Kahan maloom hai us ko,
Mohabbat zindagi mein,
bus faqt ik bar milti hai,
Agar thukra ke chal niklen,
To umrain beet jati hain,
Mohabbat ki tamnna mein,
Magar
Har ik rasty pe,
Sirf ruswai milti hai,
Faqt tanhai milti hai.
dont depend on others
06-16-2009, 01:15 PM
Juz teray koi bhi din raat na janay meray
Tu kahan hai magar ay dost puranay meray
Shama ki lau thi kay wo tu tha shab'e hijr
Dair tak rota raha koi sirhanay meray
Khalq ki bekhabree hai ke meri ruswa'ee
Loog mujh ko hi sunatay hein fusanay meray
Aaj ik aur buras beet gaya us kay baghair
Jis kay hotay huye hotay thay zamanay meray
Kaash tu bhi meri awaaz sunta ho
Phir pukara hai tujhe dil ki saada ne meray
Kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko
Loog aate hain bohat dil ko dukhane meray
K@IN@@T
06-16-2009, 01:16 PM
very nice
dont depend on others
06-16-2009, 01:21 PM
Bazm_e_gul choor gaya
Dil mera paghal nikla
Jab bahar ayi to
Sahra ki taraf chal nikla
Jab use dhundhne nikle to
Nishaan tak na milaaa
Dil main moujood raha
Aankh se oujhal nikla
Ek mulaqat thi jo
Dil ko sada yaad rahi
Main jese umr samjhta tha
Woh ek pal nikla
Woh jo afsana_e_gham
Sun kar hansa karte the
Etna roye hain k sab
Aankh ka kajal nikla
Koun ayub pareshan
Naheen tarikhi main
Chaand aftab pe
Dil sene main bekal nikla
dont depend on others
06-16-2009, 04:36 PM
Thx hfsa and dewani
dont depend on others
06-19-2009, 12:59 PM
Pathar bana deya mujhe
Rone naheen deya
Daman bhi tere ghum ne
Baghone naheen deya
Tanhaiyan tumara
Pata pouchti raheen
Shab bhar tumari yaad ne
Sone naheen deya
Aankhon main a k bathe gayi
Ashkon ki lahar
Palkon pe koy khuwab
Prone naheen deya
Dil ko tumari yaad k
Aansu azeez the
Duniya ka koy dard
Samone naheen deya
Nasir yun us ki yaad
Chali hath thaam k
Mele main is jahan k
khone naheen deya!!!
dont depend on others
06-19-2009, 01:00 PM
Jab agle saal yehi waqt aa raha ho ga
Yeh Koun janta hay koun kis jagah ho ga
Tu mere samne batha hay
Aur main sochta hoon
K ane wale lamhon main
Jena bhi ek saza ho ga
Hum apne apne bakheron main
Pans chuke hoon ge
Na tujh ko mera na muj ko tera pata ho ga
Yehi jaga hay jahan aaj mil k bathe hain
Ishi jaga pe KHUDA jane kal kiya ho ga
Bicharne wale tujhaye dekh dekh sochta hoon
Tu kal mile ga to kitna badal chuka ho ga !
dont depend on others
06-19-2009, 01:01 PM
Zindagi ka sahara hai teri chahat
Jeene ka bahana hai teri chahat
Tujh se juda hona bas main nahi mere
Har pal deewana banati hai teri chahat
Khamoshi main sargoshi karti hoon khud se
Mujhe madhosh rakhti hai teri chahat
Bheer main bhi tanha hoti hoon main
Jab se mujh main samayi hai teri chahat
dont depend on others
06-19-2009, 01:03 PM
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta,
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta ....
chahta hoon main tujhe aaj bhi par,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta...
tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri .....
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta.....
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main....
tere liye khuda se taqraar nahi karta ...
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim...
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta....
dont depend on others
06-19-2009, 01:04 PM
Khaboown k janssown main aa kay ansoown chupa lae ta hown
Zindgi teri khatar main kitnay gum autha lay ta hown
Tu aa kay dil hi tor ja mera hi maray humnasheen
Iss tunhai main bas yea hi duha laboown pay sjjaa lay ta hown
Kayin maloom na per jayay maray dil ki haqeeqath iss dunia ko
Yea hi sooch kay meri jann main muskra l ay ta hown
Mitnae hi nahi dae ta teri yadoown ko main aur mera awara mann
Her din teri yadoown ka nia kanwal khelaa lae ta hown
Ho teare gumoown ka rajj sagar kay zindgi pay
Teri damin main hown khushyain duha kae liay haath autha lae ta hown
dont depend on others
06-19-2009, 01:05 PM
Dil me basai thi tasvir mita dena
Aankhon me basaya tha nazron me gira dena
Tum ko to wafa meri kuch raas na aai
Jata hoon tere dar se mujhko na sada dena
Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki
Tum meri wafaon par ilzam laga dena
Pir oski tamanna keya jo gair ka ho jaye
Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena
dont depend on others
06-19-2009, 01:19 PM
Ek sham yahan kiya dekha
Sansoon main diye jalty the
Phulon se saji ek mehfil thi
Sapne se kahi dhalty the
Aur aaj yahan kiya dekha
Har taak main gham palta hay
Na woh phool rahe na woh deep rahe
Yadoon ka dhunwan jalta hay
Ek pal shorat ki kaliyan
Ek pal zilat k kanty
Yeh sare bhar bhar sholy
Qudrat ne kaise bandhy
Ek sanse hay girti shabnam
Ek sans hay aab ka darya
Ek dharkan sheer_o_nagma
Ek dharkan aah_o_grya
Har suba qaza ka mosam
Har phool k sath khizaan hay
Har sham fana ki aandhi
Har deep k sath dhunwan hay
Apni apni manzil par
Har rah simat jaye gi
Jaly pholon ki ujli koyki
Yeh yaad bhi mitt jaye gi
life2
06-21-2009, 01:58 AM
nyc dont
dont depend on others
06-21-2009, 08:11 PM
thx life
life2
06-22-2009, 10:04 PM
Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..
dont depend on others
07-13-2009, 09:31 AM
Sun pagli pawan sun urhti ghata
Mere ang ang se har umang se
Kaliyaan chatakne ki ati hay sada
Hay mast faza man pouch raha
Ayi sanwari gahtayeen kis oour se
Mousam hay haseen chup chup k kahen
Gaye banwari koyel bari zoor se
Gaye geet pyaar k intezar k
Nagmain barasty hain hota hay nasha
Bijli ki chamak dekhlaye jahlak
Uroun badlon k sang sang jhuum k
Jhula hay mera rangen hay dahnak
Nile aasman ko ayi hoon main chuum k
Dil thaam thaam lon pi ka name lon
Apne tarapne ka leti hoon maza!!!
dont depend on others
07-13-2009, 09:35 AM
Ja apni hasratoon par
Aansu baha k sooo ja
Kaheen sun na le zamana
Aye dil khamosh ho ja
Mil bhi gaya to phir kiya ho ga
Lakhon milty dekhe hain
phool bhi khilty dekhe hain
kiya ghum hay kiya khushi hay
Sab kuch bhula k so ja
Geet suna mat aye dewane
Pathar ki diwaron ko
Soye huwe ghumkharon ko
Yeh shab na khatam ho gi
Shamain bhuja k soo ja
dont depend on others
07-13-2009, 10:52 AM
Mohabbat ek safar ka silsala hay
Bichar kar koun kis ko sochta hay
Jise manga tha main ne har dua main
Woh bin mange kisi ko mil gaya hay
Meri aankhon se tanhayi ka mousam
Samandar ban kar aksar jhankta hay
Jise parwah naheen meri zara si bhi
Woh jane raat bhar kyun jagta hay
Jise har moor par dukh hi mile hain
Khushi ko woh kahan pehchanta hay
Usse tum dhaar ki dhamki na dena
Yeh aashfata saron ka kaflah hay
Mere dehqaan ki kismat yehi hay
Khushi bota hay aur ghum kaat ta hay
dont depend on others
07-13-2009, 10:59 AM
Bari hairat se arbab_e_ wafa ko dekhta hoon main
Khata ko dekhta hoon aur saza ko dekhta hoon main
Abhi kuch dair hay shayad mere majuos hone main
Abhi kuch din freeb_e_ rehnama ko dekhta hoon main
KHUDA maloom dil ko justaju hay kin jazeron ki
Najane kin sitaron ki ziya dekhta hoon
Yeh kiya ghum hay,mere ashaar ko nam kar deya jes ne
Yeh dil main kis samandar ki ghata ko dekhta hoon main
Zameer eik kaid_e_namahsos ko mahsos karta hoon
Kisi nadedni zanjeer paa ko dekhta hoon main!!!!!
dont depend on others
07-13-2009, 11:05 AM
Etni Se Ek Dua Hai Ke Aney Wala Har Lamha
Haseen Chahatoo Ke Phool Bakhshay Urooj Bakhshay
Tumhari Dunya Mai Roshni Hoo,
Tumhare Mehfil Mai Khushiyan Hoo
Tumhare Hoonto Pe Muskurahat
Kabhi Be Tum Tak Dukho Ke Dastak Na Pohunch Paye
Tumharu Ankhon Mai Ju Setare Chamak Rahe Hai Wo Yunhi Chamakte Rahein Hameesha
Tumhare Dil Tak Judaiyoo,Be Wafayoo K Koye Andhairi Kiran Na Pohunchey
Khuda Karey K Har Dil Ka Qarar looto
Magar Tumhari Har Ek Tammanna Har Ek Khuwahish
Tumhare Hoonto Tak Atey Atey
Tumhare Qadmoo Tak Aan Pohunche
Ju Hosake Tu Tumhare Hissey K Sare Ghamoo Ko Mai Apne Andar Utar Loo
Ye Mumkin Tu Nahi,Laikin Dua Tu Mera Haq Hai
Ye Mukhtasar Se Dua ka Tuhfa Sanbhal Rakhna
Mere Andhairoo Ke Fekar Choro
Tum Bas Apna Khayal Rakhna
FAJAAN
07-13-2009, 08:02 PM
nyce
dont depend on others
07-13-2009, 09:06 PM
thx budy
dont depend on others
07-18-2009, 12:04 PM
Kaise kaise haadsye sehte rahe
Phir bhi hum jitey rahe hanstye rahe
Us k a jane ki umedain le kar
Raasta mur mur k hum takte rahe
Waqt to guzra magar kuch is tara
Hum chiragoon ki tara jaltye rahe
Kitne chere the humare aas paas
Tum hi tum dil main magar baste rahe
dont depend on others
07-18-2009, 12:05 PM
Jo tum ne thaan hi li hay
Humare dil se niklo ge
To itna jaan lo piyare
Wafa ki siriyoon pe har qadam phelah huwa hay
Yeh aarzouun ka laho zaya na jaye ga
Sitare,
Jin ki aankhon ne humain eik sath dekha hay
Guhayi dene ayeen ge
Pourane kagazon ki balkoni se bahut se lafaz jhankain ge
Tumain wapas bulayen ge!
kehhi wahde,
Fasadi karz khuahon ki tara rastye main rokain ge
Tumari jaan khayen ge
Chupa kar kis tara chera
Bahri mehfil se niklo ge
Zara phir soch lo janaa
Nikal to jao ge shayad
Magar mushkil se niklo ge!!!
dont depend on others
07-18-2009, 12:40 PM
Gham-e-Hayat
Gham-e-Hayat ka jhagda mita raha koi
Chale aayo duniya se ja raha hai koi
Azal se kehdo ke ruk jaye do ghari
Suna hai aane ka waada nibharaha hai koi
Woh is naaz se baithe hai lash ke paas
Jaise ruthe huwe ko maana raha hai koi
Palat kar na aajaye phir sans nabzu mein
Itne haseen haathon se miyat saja raha hai koi
dont depend on others
07-18-2009, 12:41 PM
Nigaheen mila kar badal jane wale
mujhe tuj se koy shikayat naheen hay
Yeh dunya bari sangdil hay yahan par
Kisi ko kisi se mohabbat naheen hay
Jafaon se tu ne mere dil ko tora
Mujhe tu ne zalim kaheen ka na chora
Huwa muj ko maloom sab kuch luta kar
Wafa ki yahan koy kimat naheen hay
Na pahly se din hain na pahli si rateen
Bhula deen woh tu ne mohabbat ki bateen
Sunaye the jo tu ne joothe fasane
Zara si bhi un main haqeqat naheen hay
Karon main jo fariyaad apni zubaan se
girain tuut kar bijliyan aasman se
Main ashkoon main sare jahan ko baha doon
Magar muj ko rone ki addat naheen hay!!!!
dont depend on others
07-18-2009, 12:42 PM
Humeen kho kar bohot pachtao ge
Jab hum naheen hoon ge
Bhari duniya ko veraan paoo ge
Jab hum naheen hoon ge
Bohot asaan sahi rah_e_wafa ki
Manzileen lekin
Akele tum kahan tak jaoo ge
Jab hum naheen hoon ge
Humeen apna naheen jan_e_tamana
Gham tumara hay
K tum kis par sitem farmao ge
Jab hum naheen hoon ge
dont depend on others
07-25-2009, 10:21 AM
Shikwa na kar gila na kar
Yeh dunya hay pyare
Yahan gham k mare tarapty rahe
Khizaan is gulistan main ati rahi hay
Hawa sukhe paty urati rahi hay
Yahan phool khil k baharon se mil k
Bicharty rahe
Yahan tere ashkon ki
Kimat naheen hay
Raham karna dunya ki
Addat naheen hay
Kisi ne na dekha yahan
Khuun k aansuu dhalakty rahe
Yahan ka hay dastuur khamosh rahna
Jo guzri hay dil pe kisi se na kehna
Yeh din kaat hans k
Yahan loog bas k ujarty rahe
dont depend on others
07-27-2009, 10:20 AM
thx life jee
K@IN@@T
07-27-2009, 11:00 AM
v nice
dont depend on others
07-27-2009, 02:42 PM
Thx
Shona Kuri
07-28-2009, 01:15 PM
v nice
khool
owsome
gr8
life2
07-28-2009, 11:18 PM
nyc.
sochta hun kabhi tere dil men utar kr dekh lun faraz
kon basa hai tere dil men jo mje vbasne nai deta!
dont depend on others
07-29-2009, 09:58 AM
thxxxxxxxxxxxxx
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.