Zafina
04-03-2010, 03:38 PM
Meray wahm-o-guman say bhi ziadah roth jata hai
Ye dil apni hadoon main reh kar itna toot jata hai
Main roun to dar-o-dewaar mujh pe hansnay lagtay hain
Hanson to meray andar janay kya kya toot jata hai
Main jis lamhay ki khawhish main safar karta hon sadiyon ka
Kahin paon talay aa kar wo lamha toot jata hai
Meray khawabon ki basti say janazay uthtay jatay hain
Meri aankhain jisay chhu lain wo sapna toot jata hai….