View Full Version : '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:17 PM
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai
Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain
Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai
Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai
Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai
Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain
Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai
Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil
Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai
Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay
Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai
Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se
Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai
Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai
Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand
Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai
Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay
Phir bhi is ko chahna acha lagta hai
Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi
Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai
Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain
Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai…!
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:19 PM
MANZIL
Manzil b khoo gayee….
Wo b hum say juda ho gay
kasa hay ye dard
jiss ka koi marham na ban saka
kunk hay zindage tanha ess kadar
kunk hon main khud b aj tanha see
kia dosh tha mara
jo mazil b khao gayee
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:21 PM
ZINDAGI
Kagaz ki kashti thee samadar ka pani tha
Rishta ara aur us ka kuch ess tarah ka tha
Na janay ye zindage humhain kiss mor pay lay aye
Jahan milna aur bicharna b dishwar tha
Us ki kasmain, wadain sab ek dhoka thay
Main he samjti rahee k wo siraf mara tha
Us ki adat the ek badalty howay mosam ki tarah
Kabe wo dhup tue kabe mara sayia tha
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:23 PM
RaKhNa HaI
Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai………..
Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai….
Harr Ek Masley Ka Teray; Hal Nikaal Rakhna Hai…….
Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai
Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay…………
Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai………………
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:25 PM
“Dard Mein Bhi Ab Hum Hasna Seekh Gaye
Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye
Pehle Rulate Ho Phir Hansate Ho Kis Liye
Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye
Dard Badh Gaya Hai Jalan Bankar Humare Liye
Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye
Ghamon Ko Na Bhula Paaye Yeh Kaise Dard Mile
Kuchh Haseen Palon Ko Yaad Karke Hasna Bhool Gaye
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:28 PM
EHSAS HO TUM KO
Kabhi Jo Ehsas Ho Tum Ko
Ke Tum Acha Nahin Karte
Jo Mujh Ko Yun Rulate Ho
Lahoo Mera Jalate Ho
Agar Is Aag Main Jal Kar
Main Ek Din Raakh Ho Jaun
Mujhe Dil Se Bhula Dena
Samandar Main Baha Dena
Magar Ye Yaad Rakhna Tum
Khuda Se Ye Dua Karna!
K Jo Acha Lage Tum Ko
Wo Tum Jaisa No Ho Hargiz
Warna Tum Bhi Rooge
Mujhe Jaisey Rulate Ho
Kabhi Jo Ehsas Ho Tum Ko….!
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:35 PM
Yeh jo palkon pay rim-jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo tere bina koi ittna akaila sa hai
Zindagi terei yaadon say mehka hua shehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai
Sahilon pay gharonday banae thay hum nay
Tumhain yaad hai?
Rang barish main kaisay urae thay hum nay
Tumhain yaad hai?
Janay kis kay liye ghar sajae thay hum nay
Tumhain yaad hai?
Koi khushbo ka jhoonka idhar aa nikalta kaheen
Hota needon kay sehra main khoabon ka rasta kaheen
Har khushi aatay jatay hoyee waqt ki lehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai
Zindagi dhoop chaon ka ik khail hai…bheer chat’ti nahi
Aur issi khail main din guzarta nahi….raat kat’ti nahi
Pyar kertay hoyee aadmi ki kabhi umer ghat’ti nahi
Dil ki dehleez par akse-e-roshan tairay naam say
Rat-jagay aainon main khilain hain kaheen shaam say
Aik darya hai charon taraf , darmiyan lehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai
Yeh jo palkon pay rim-jhim sitaron ka maila sa hai
Yeh jo tairay bina koi ittna akaila sa hai
Zindagi tairi yaadon say mehka hua shehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai
Sub muhabbat ka ik pehar hai……..!!
~ Sanam Khan ~
03-11-2010, 11:38 PM
Wafa'oN Ki Talash MeiN
Sadaa'oN Ki Talash MeiN
Samandar Dekhay Dariya Dekhay
Jungle Dekhay Sehra Dekhay
NaheeN Koi Mil Saka
Jo Taskeen-e-Dil-o-JaaN Hota
Mehakta Hua ArmaaN Hota
Meri DhaRhkanoN Mein Woh Basta
Meray Jeenay Ka SaamaaN Hota
Meri Rooh Ka Woh Chain Hota
Meri Zindagi Ka UnwaaN Hota
Wafa'on Ki Talash MeiN
Zindagi Dar Ba Dar Bhatki
Sukoon Ke Ek EK Pal Ko Tarsi
Kabhi Door Khala'on MeiN Khoyi
Kabhi Samandar Ki Gehraiyon MeiN Uljhi
Aur Phir
Wafa'on Ki Talash MeiN
Bus Ek Samar Hi Haath Aya
Is Bhari Dunya MeiN
Wafa Ka Koi Wajood NaheeN
PaththroN Ke HaiN Jism Saaray
In MeiN Ehsaas Maujood NaheeN
Wafa Faqat Jis Ka Kaam Hai
MAUT Us Ka Naam Hai
~wish munda~
03-12-2010, 12:01 AM
hmmmm very sad Allah app ko sabar day
dur-e-shahwar
03-12-2010, 02:54 AM
hmmm good
life2
03-12-2010, 07:04 AM
nyc........
~ Sanam Khan ~
03-12-2010, 03:53 PM
:star: :star: THANX EveRyone :star: :star:
~ Sanam Khan ~
03-12-2010, 05:17 PM
ThAnK You
DeV!L
03-12-2010, 05:18 PM
Realli touchy Word :P Koooool
~ Sanam Khan ~
03-12-2010, 05:40 PM
:17: Thanx :17:
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.