Zafina
03-04-2010, 09:35 PM
Meray dil meray musafir
Hua phir se hukm sadir
Ke watan badar hon hum tum
Dain gali gali sadayen
Karen rukh nagar nagar ka
Ke suragh koi payen
Kisi yaar-e-naama bar ka
Har ik ajnabi se pochain
Jo pata tha apney ghar ka
Sar-e-ku-e-nashanaayaan
Hamainn din se raat karna
Kabhi is se baat karana
Kabhi us se baat karana
Tumhainn kya kahon ke kya hai
Shab-e-Gam buri balaa hai
Hamainn ye bhi tha ghaneemat
Jo koi shumaar hota
Hamien kya bura thaa marna
Agar aik baar hota
Hua phir se hukm sadir
Ke watan badar hon hum tum
Dain gali gali sadayen
Karen rukh nagar nagar ka
Ke suragh koi payen
Kisi yaar-e-naama bar ka
Har ik ajnabi se pochain
Jo pata tha apney ghar ka
Sar-e-ku-e-nashanaayaan
Hamainn din se raat karna
Kabhi is se baat karana
Kabhi us se baat karana
Tumhainn kya kahon ke kya hai
Shab-e-Gam buri balaa hai
Hamainn ye bhi tha ghaneemat
Jo koi shumaar hota
Hamien kya bura thaa marna
Agar aik baar hota