ROSE
02-28-2010, 09:24 AM
Taiba ke janay wale, jakar zara adab se
Mera bhi qissa e gham, kehna Shahe Arab se
Kehna ke Shahe Alee, ek ranj o gham ka maraa
Do no jahaan me jiska, hai Aap hi sahara
Halaat e pur alam se, iss dum guzar raha hai
Aur kaampte labaun se, faryaad kar raha hai
Baray gunah apna, hai dosh par uthae
Koee nahi hai aisa, jo poochne ko aae
Seene me hai andhera, dil hai siyah khana
Yeh hai meri kahani, Sarkaar ko suna na
Kehna ke badh rahi hai, ab dil ki iztirabi
Qadmau se door hoon mai, qismat ki hai kharabi
Kehna mere Nabi se, mehroom hoon khushi se
Sar par ek abre gham hai, ashkaun se aankh num hai