Log in

View Full Version : Hadess Shareef..!!


DeV!L
02-24-2010, 11:23 PM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا ne bayaan kiya k Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne apney marz wafaat mein fermaya k yahood aur nasara per ALLAH ki lanat ho k unho ne apney Anbiya-a ki kabro ( graves ) ko masaajid bna lia _ Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا ne kaha k ager aisa dar na hota to Aap ki kabar khuli rehty ( aur hujrey mein na hoty ) kiun k mujhey der us ka hai k kahin Aap ki kabar bhi masjid na bna li jaaye اخرجہ البخاری فی :23- کتاب الجنائز :62 باب ما یکرہ من اتخاذ المساجد علی القبور۔

ROSE
02-25-2010, 06:12 PM
very good shairing keep it up

!~*AdOrAbLe*~!
02-25-2010, 06:17 PM
very nice share
jazakallah

DeV!L
02-26-2010, 03:43 PM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Saad Bin Abi Waqas رضی اللہ عنہ k betey Musab رحمۃ اللہ علیہ bayaan kertey hain k main ne apney waalid k pehloo mein namaaz perhi ' aur apni dono ( both ) hathelion ( palms ) ko mila ker raano-n ( thigh) k dermiyaan rakh liya _ is per mere baap ne mujhey toka aur fermaya k hum bhi pehley isi tarah kertey they _ lekin baad mein is se rok diye gaye aur yeh hukum hua k hum apney haatho ( hands ) ko ghutno ( knee ) per rakhein _ اخرجہ البخاری فی :10- کتاب الاذان :118 باب وضع الاکف علی الرکب الرکوع۔ ~*~ ~*~

SHAYAN
02-26-2010, 04:11 PM
JazakALLAH
t4s....

life
02-26-2010, 07:42 PM
JazakALLAH

Hamzaking
02-27-2010, 08:49 AM
Jazak allah

DeV!L
03-02-2010, 03:59 PM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا ne bayaan kiya k Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم jab kisi mareez k paas tashreef ley jaatey ya koi mareez Aap k paas laaya jaata to Aap yeh dua fermaatey " Aey logo ( people ) k perwardigaar ! beemari door ker dey _ Aey insano k paalney waaley shiffa atta ferma Too hi shifa deney waala hai _ teri shiffa k siwa aur koi shifa nahi _ aisi shifa dey jis mein Marz bilkul baaki na rahey _ " ( akhrajh-ul bukhari Fi : 75- kitabul Marzi :20- baab dua-a al-aa-id lilmareez.) ~*~~*~

life2
03-03-2010, 09:52 PM
jazakallah

DeV!L
03-05-2010, 02:01 AM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Abu Hurerra رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya k kisi khaatoon ( women ) k liye jo ALLAH aur us k Rasool صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم per imaan rakhty ho ' jaaiz nahi k aik din raat ka safer bager kisi zi reham mehram k kerey _ ( akhrajh-ul bukhari Fi : 18- kitab Takseer alsalat :4 - baab fi kam yakser alsalat .) ~*~

DeV!L
03-06-2010, 02:41 AM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Abu Hurerra رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k RASOOL ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya qayamat k din ALLAH k nazdeek sab se badtareen naam us ka ho ga jo apna naam mulk-ul-amlaak ( shehanshah ) rakhey _ ( akhrajh-ul bukhari Fi : 78- kitab uladab :114 - baab abgaz al-asma-a ind ALLAH .) ~*~

DeV!L
03-07-2010, 01:51 AM
** as slaam u alaikum **
"Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم "

Hazrat Abu Hurerra رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k Hazrat Zainab ( رضی اللہ عنہا ) ka naam " Barrah " tha _ kaha jaaney lagga k wo apni paaki zaahir kerty hain ! chunancha AanHazrat صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne un ka naam Zainab rakha _

( akhrajh-ul bukhari Fi : 78- kitab uladab :108 - baab tehweel al-ism ili ism hasn minh .)

Note = lafz " Barrah " bohat naikoo kaar k maani mein hai _ yeh Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ko pasand nahi aaya tha _ kiun k is mein khudpasandi ki jhalak aaty thi _ is liye naam badal diya gaya _ ( raaz )

DeV!L
03-07-2010, 10:37 PM
.

[2. Surah Al-Baqarah : Ayah 43]


And keep up prayer and pay the poor-rate and bow down with those who bow down.




Muhammad-ur- Rasoolullah (sal-allahu- alleihi-wasallam )





[9. Surah Tauba : Ayah 128]

Certainly an Apostle has come to you from among yourselves; grievous to him is your falling into distress, excessively solicitous respecting you; to the believers (he is) compassionate.



[3. Surah Aal-e-Imran : Ayah 144]

And Muhammad (sal-allahu- alleihi-wasallam ) is no more than an apostle; the apostles have already passed away before him; if then he dies or is killed will you turn back upon your heels? And whoever turns back upon his heels!s, he will by no means do harm to Allah in the least and Allah will reward the grateful.



[33. Surah Al-Ahzab : Ayah 40]


Muhammad (sal-allahu- alleihi-wasallam ) is not the father of any of your men, but he is the Apostle of Allah and the Last of the prophets; and Allah is cognizant of all things.



[21. Surah Al-Anbiyaa : Ayah 107]

And We have not sent you but as a mercy to the worlds.




[18. Surah Al-Kahf : Ayah 110]

Say: I am only a mortal like you; it is revealed to me that your god is one God, therefore whoever hopes to meet his Lord, he should do good deeds, and not join any one in the service of his Lord.



[21. Surah Al-Anbiyaa : Ayah 34]

"And We did not ordain abiding for any mortal before you. What! Then if you die, will they abide?"



[48. Surah Fateh : Ayah 29]


Muhammad (sal-allahu- alleihi-wasallam ) is the Apostle of Allah, and those with him are firm of heart against the unbelievers, compassionate among themselves; you will see them bowing down, prostrating themselves, seeking grace from Allah and pleasure; their marks are in their faces because of the effect of prostration; that is their description in the Taurat and their description in the Injeel.



[Sahih Bukhari : Volume 5, Book 55 Prophets, Number 654]

Narrated 'Umar (Radi Allah Anhu): I heard the Prophet (sal-allahu- alleihi-wasallam ) saying, "Do not exaggerate in praising me as the Christians praised the son of Mary, for I am only a Slave. So, call me the Slave of Allah and His Apostle."








[9. Surah Tauba : Ayah 128]

Certainly an Apostle has come to you from among yourselves; grievous to him is your falling into distress, excessively solicitous respecting you; to the believers (he is) compassionate.



[3. Surah Aal-e-Imran : Ayah 144]

And Muhammad (sal-allahu- alleihi-wasallam ) is no more than an apostle; the apostles have already passed away before him; if then he dies or is killed will you turn back upon your heels? And whoever turns back upon his heels!s, he will by no means do harm to Allah in the least and Allah will reward the grateful.



[33. Surah Al-Ahzab : Ayah 40]


Muhammad (sal-allahu- alleihi-wasallam ) is not the father of any of your men, but he is the Apostle of Allah and the Last of the prophets; and Allah is cognizant of all things.



[21. Surah Al-Anbiyaa : Ayah 107]

And We have not sent you but as a mercy to the worlds.




[18. Surah Al-Kahf : Ayah 110]

Say: I am only a mortal like you; it is revealed to me that your god is one God, therefore whoever hopes to meet his Lord, he should do good deeds, and not join any one in the service of his Lord.



[21. Surah Al-Anbiyaa : Ayah 34]

"And We did not ordain abiding for any mortal before you. What! Then if you die, will they abide?"



[48. Surah Fateh : Ayah 29]


Muhammad (sal-allahu- alleihi-wasallam ) is the Apostle of Allah, and those with him are firm of heart against the unbelievers, compassionate among themselves; you will see them bowing down, prostrating themselves, seeking grace from Allah and pleasure; their marks are in their faces because of the effect of prostration; that is their description in the Taurat and their description in the Injeel.



[Sahih Bukhari : Volume 5, Book 55 Prophets, Number 654]

Narrated 'Umar (Radi Allah Anhu): I heard the Prophet (sal-allahu- alleihi-wasallam ) saying, "Do not exaggerate in praising me as the Christians praised the son of Mary, for I am only a Slave. So, call me the Slave of Allah and His Apostle."





Our Lord! accept from us; surely Thou art the Hearing, the Knowing.

wicked sonya
03-07-2010, 11:19 PM
Jazakallah

DeV!L
03-10-2010, 02:19 PM
* as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Ans رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k aik shakhs ne bakie mein ( kisi ko ) pukaara " aey abu alQasim " Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne is ki taraf dekha ' to us shakhs ne kaha k main ne Aap ko nahi pukaara ' us doosrey aadmi ko pukaara tha _ Aap ( صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) ne fermaya ' Merey naam per naam rakha kro lekin Meri kunnyat na rakha kero _ ( akhrajh-ul bukhari Fi : 34- kitab ulbayyoo :49 - baab ma ziker fi alaswaq .) ~*~

DeV!L
03-11-2010, 01:29 AM
as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Jabir Bin Abdullah رضی اللہ عنہما ne bayaan kiya k Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya ' jab raat ka andhera shuroo ho ya ( Aap ne yeh fermaya k ) jab shaam ho jaye to apney bacho ( kids ) ko apney paas rok lia kro ' kiun k shayateen ( devils ) ussi waqt phailtey hain _ albata jab aik gheri raat guzer jaaye to unhein chor do ' aur ALLAH ka naam ley ker derwaazey band ker lo ' kiun k shaitaan kisi band derwaazey ko nahi khol sakta _ ( akhrajh-ul bukhari Fi : 59- kitab bad -a alkhalq :15 - baab khair maal almuslim ganam yatba baha shaf aljabal .) ~*~ ~*~

life2
03-11-2010, 09:08 PM
Jazakallah

DeV!L
03-13-2010, 04:50 PM
02:49 3/12 ** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Umer Bin Abi Salma رضی اللہ عنہما ne bayaan kiya k main bacha ( child ) tha aur Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki perwarish mein tha ' aur ( khaatey waqt ) mera haath bertan mein chaaro ( 4 ) taraf ghooma kerta tha _ is liye Aap ( صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) ne mujh se fermaya ' baitey! Bismillah perh lia ker ' dahney haath se khaaya ker aur bertan mein wahan se khaaya ker jo jagga tujh se nazdeek ho _ chuna-nchey us k baad main hamesha ussi hidayat k mutabik khaata raha _ ( akhrajh-ul bukhari Fi : 70- kitab ulatamat :2 - baab altasmiyat alalta-am walakal bilyameen .) ~*~ ~*~
02:17 3/13 ** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Jabir رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k ansaari sahaabi Hazrat Abu Hameed Sa-adi رضی اللہ عنہ mukaam Naqie se dood ( milk ) ka aik payaala ( khula hua ) laaye to Aanhazrat صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne un se fermaya k ussey dhak ( cover ) ker kiun nahi laye aik lakri ( wood ) hi is per rakh letey _ ( akhrajh-ul bukhari Fi : 84- kitab ulashrabat :12 - baab sharb alalban wa Qol ALLAH TAALA - {min been fers wa dam labna } -.) ~*~ ~*~

hamza81
03-14-2010, 04:14 AM
jazakallah

DeV!L
03-17-2010, 04:21 PM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Abu Moosa رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k mere yahan aik lerka paida hua to main ussey ley ker Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki khidmat mein hazir hua _ Aanhazrat صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne us ka naam Ibraheem rakha aur khujoor ( date ) ko apney dandaan mubarak se naram ker k ussey chataya aur us k liye berkat ki dua ki ' phir mujhey diya _ yeh Abu Moosa رضی اللہ عنہ k sab se berey lerkey they _ اخرجہ البخاری فی :71- کتاب العقیقہ :1 باب تسمیۃ المولود غداۃ یولد لمن لم یعق ، تحنیکہ۔ ~*~ ~*~

DeV!L
03-20-2010, 05:46 AM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Abdullah Bin Umer رضی اللہ عنہما ne bayaan kiya k Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya ' bukhaar ( fever ) jahanum ki bhaap ( steam ) k aser se hota hai _ is liye issey paani se thanda ker liya kero _ اخرجہ البخاری فی :59- کتاب بدء الخلق :10 - باب صفۃ النار و انھا مخلوقۃ۔ ~*~

life2
03-20-2010, 07:32 AM
jazakallah

DeV!L
03-21-2010, 04:25 AM
/ ** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Abu Hurerra رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya " tum per aik aisa daur ( era ) bhi aaney waala hai k tum mein se koi apney saarey gher baar aur maal-o-dolat se berh ker mujh ko dekh lena zayada pasand kerey ga _ " اخرجہ البخاری فی :61- کتاب المناقب :25 - باب علامات النبوۃ فی السلام۔ ~*~ ~*~

!«╬Ĵamil Malik╬«!
03-22-2010, 08:45 PM
jazakALLAH

DeV!L
03-23-2010, 07:33 PM
as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا ne bayaan kiya k Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne mujhey hukum diya ya ( Aap ne is tarah bayaan kiya k ) Aanhazrat صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne hukum diya k nazer bad lag jaaney per maooz teen se dam ker liya kero _ اخرجہ البخاری فی :76- کتاب الطب :35 - باب رقیۃ العین۔ Note : maooz teen surah ikhlaas aur surah falaq aur suraf Naas hain ~*~

DeV!L
03-29-2010, 05:47 PM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat ibn-e- Abbas رضی اللہ عنہما ne bayaan kiya k ager kisi ne apney ooper koi halaal cheez haraam ker li to us ka kafaara dena ho ga _ aur ayat mubarka ki talawat ki " bey shak tumharey liye tumharey Rasool ki zindagi mein behtareen namoona hai _ " (احزاب : 21) اخرجہ البخاری فی :65- کتاب التفسیر :66 - سورۃ التحریم : 1- باب { یا ایھا النبی لم تحرم ما احل اللّھ لک}۔ ~*~

DeV!L
04-02-2010, 02:25 PM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hafs Bin Asim ( رضی اللہ عنہ ) se riwayat hai k Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya k kaafi hai aadmi k jhootey ( lier ) honey k liye yeh baat k jo sunney us ko aagey bayaan ker dey _ Saheeh Muslim Shareef - Jild awal -page # 40- Hadees # 7-Baab uni huyee baat ( bager tehkeek kiye huye ) keh dena manna hai - ~*~ *~

!~*AdOrAbLe*~!
04-11-2010, 04:31 AM
jazakallah

DeV!L
04-13-2010, 01:53 AM
** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Abdullah Bin Masood ( رضی اللہ عنہ ) se riwayat hai Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya jannat mein na jaawey ga wo shakhs jis k dil mein ratti beraber guroor ( proud ) ho _ Saheeh Muslim Shareef - Jild awal -page # 191- Hadees # 267-Baab :kuber ( yaani guroor aur khud passandi ) ki hurmat aur us ka bayaan - ~*~

DeV!L
04-13-2010, 01:53 AM
12:26 AM 4/5 ** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Abu Hurrera ( رضی اللہ عنہ ) se riwayat hai Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya her nabi ki aik dua hoty hai jis ko Khuda-wand Taala zaroor kabool kerta hai aur baaki duayein kabool bhi hoty hain aur nahi bhi hoti-n to Main chaahta hoon k apni dua ko chupa ( hide ) rakhoon qayamat k din tak apni ummat ki shifaat k liye _ Saheeh Muslim Shareef - Jild awal -page # 335- Hadees # 487-Baab :Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ka apni ummat k liye duayey shifaat ko mokher rakhna - ~*~

DeV!L
04-13-2010, 01:54 AM
* as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Umeroo Bin saeed Bin Aas se riwayat hai main Hazrat Usman رضی اللہ عنہ k paas betha tha unho ne wuzu ka paani mangwaya phir kaha mainey suna Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم se Aap fermaatey they jo koi musalmaan farz namaaz ka waqt paaye phir achi tarah wuzu kerey aur dil laga ker namaaz perhey aur achi tarah rukoo aur sajda kerey to yeh namaaz us k agley gunnaho ka kaffara ho jaaye gi jab tak kabeera gunnah na kerey aur hamesha aisa hi hua kerey ga _ Saheeh Muslim Shareef - Jild awal -page # 359-360 - Hadees # 543-Baab :wuzu ki aur us k baad namaaz perhney ki fazeelat- ~*~

DeV!L
04-13-2010, 01:55 AM
6:25 PM 4/8 ** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Abu Hurrera ( رضی اللہ عنہ ) se riwayat hai Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne fermaya qasam Khuda ki Maryam ( aleh slaam ) k betey uterein gey aasmaan se aur wo haakim hon gey adal kerey gey to tor daalein gey saleeb ko aur maar daalein gey soowar ko aur mokoof ker dein gey jaziya ko aur chor dein gey jawaan oont ( camel ) ko _ phir koi mehnat na kerey ga us per aur logo k dilo ( hearts ) mein se kapat aur dushmani aur jalan jaaty rahey gi aur bulaawein gey wo logo (people ) ko maal deney k liye lekin koi kabool na kerey ga ( is wja se k haajat na ho gi aur maal kasrat se her aik k paas ho ga ) _ Saheeh Muslim Shareef - Jild awal -page # 255 - Hadees # 391-Baab :Hazrat i

DeV!L
04-13-2010, 01:55 AM
12:02 AM 4/10 ** as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Abdullah bin Umer ( رضی اللہ عنہ ) se riwayat hai k aik shakhs ne Rasool ALLAH صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم se poocha kon sa islam behtar hai? Aap ne fermaya ( yeh k too bhookey aur mehmaan ko ) khaana khilaawey aur her shakhs se alsalaam alaikum kerey khawah too us ko pehchaanta ho ya na pehchaanta ho _ Saheeh Muslim Shareef - Jild awal -page # 138-139 - Hadees # 160-Baab :khazayil islam ki fazeelat aur us baat ka bayaan k islam mein kon sey kaam afzal hain _-

Diwa
04-13-2010, 02:33 AM
JazakALLAH Khair! MAshALLAH gr8 sharing!

Abewsha
09-01-2011, 05:24 AM
jazakallah....
gr8888 sharing mashallah...

Flower~
09-02-2011, 05:28 PM
http://www.afghanicc.com/images/jazakallah.gif

DeV!L
03-11-2012, 04:24 PM
thanks Soon more ..!!

Credible KiRan
03-28-2012, 09:09 PM
Jazak allah

DeV!L
04-09-2012, 02:49 PM
as slaam u alaikum ** "Hadees صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم " Hazrat Ans رضی اللہ عنہ ne bayaan kiya k aik shakhs ne bakie mein ( kisi ko ) pukaara " aey abu alQasim " Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne is ki taraf dekha ' to us shakhs ne kaha k main ne Aap ko nahi pukaara ' us doosrey aadmi ko pukaara tha _ Aap ( صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) ne fermaya ' Merey naam per naam rakha kro lekin Meri kunnyat na rakha kero _ ( akhrajh-ul bukhari Fi : 34- kitab ulbayyoo :49 - baab ma ziker fi alaswaq .) ~*~

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.