K@IN@@T
02-07-2010, 09:07 PM
inn uddas rahoon par
iss akelay dil kay saath
kar liya safar kitna
aur kitna baki hay
woh jo aik tara sa
door jhilmilata hay
raasta dikhata hay
aur doob jata hay
tabb akelay pann say dil
yeh sawal karta hay
jugnoo'on ki khuwahish mein
titliyoon ki chahat mein
kar liya safar kitna
aur kitna baki hay?
iss akelay dil kay saath
kar liya safar kitna
aur kitna baki hay
woh jo aik tara sa
door jhilmilata hay
raasta dikhata hay
aur doob jata hay
tabb akelay pann say dil
yeh sawal karta hay
jugnoo'on ki khuwahish mein
titliyoon ki chahat mein
kar liya safar kitna
aur kitna baki hay?