Hussain
11-05-2008, 01:16 PM
Asar usko zara nahi hota
ranjh raahat fazaa nahi hota
tum hamare kisi tarah na huwe
warnaa duniyaa mein kyaa nahi hota
narasaaii se dam ruke to ruke
main kisi se khafa nahi hota
tum mere paas hote ho goya
jab koi doosra nahi hota
haal-e-dil yaar ko likhun kiyon kar
haath dil se juda nahi hota
kiyon sune arz-e-muztarib ae Momin
sanam aakhir Khudaa nahi hota ..
ranjh raahat fazaa nahi hota
tum hamare kisi tarah na huwe
warnaa duniyaa mein kyaa nahi hota
narasaaii se dam ruke to ruke
main kisi se khafa nahi hota
tum mere paas hote ho goya
jab koi doosra nahi hota
haal-e-dil yaar ko likhun kiyon kar
haath dil se juda nahi hota
kiyon sune arz-e-muztarib ae Momin
sanam aakhir Khudaa nahi hota ..