K@IN@@T
02-01-2010, 07:28 PM
Muskurahat Si Jo Chehroun Pe Saja Lete Hain
Khud Ko Duniya Ki Nigahoun Se Chupa Lete Hain
Apni Tanhaiye Me Aansoo Ho Muqadar Jinka
Qahqahe Bazm Me Woh Log Laga Lete Hain
Gham Se Begana Jo Nazar Aate Hain Duniya Ko
Apna Dil Seene Me Apne Woh Jala Lete Hain
Gham Ke Maaroun Ko Laga Lete Hain Woh Seene Se
Aur Khud Chupke Se Woh Ashk Baha Lete Hain
Jinke Dil Me Koi Kwahish Nahi Paida Hoti
Khud Ko Pather Ki Tarah Kaise Bana Lete Hain
Jinke Labb Par Koi Shikwa Nahi Aane Paata
Jaane Kis Jurm Ki Woh Khud Ko Saza Dete Hain
Ab Ruby Tum Bhi Sunana Naa Kahani Apni
Log Toh Sach Ko Bhi Afsana Bana Lete Hain