Zafina
01-29-2010, 10:28 AM
Wafa k qaid khanon mein sazayen kab badalti hain
Badalta dil ka mousam hai hawayen kab badalti hain
Libaada oorh k gham ka nikal jate hain sehra ko
Jawab aye k na aye,sadayen kab badalti hain
Meri sari duaayen tum se hi mansoob hain janaan
Mohabbat ho ager sachi duaayen kab badalti hain
Koi paa ker nibhata hai koi kho ker nibhata hai
naye andaaz hote hain wafayen kab badalti hain
gunaahon ko humare aik hi Maalik Bakhshta hai
Ataa US ki purani hai khatayen kab badalti hain