PDA

View Full Version : AQWAAL-e-HAZRAT ALI


life2
01-27-2010, 09:43 PM
11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)


12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)


13-Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)


14-sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)


15-Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke
Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)

16-Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai..
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai......
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)


17- Aik Shakhs Ne Hazrat ALI Karam Ullah Wajho Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna

18-Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)


19-"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)


20- "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)

!«╬Ĵamil Malik╬«!
04-30-2010, 07:08 PM
Jazak allah

ღƬαsнι☣Rασ™
02-11-2012, 01:40 AM
JazakAllah
ThanX 4 Sharing

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.