Log in

View Full Version : mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna


ROSE
01-26-2010, 01:48 PM
mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas'tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna

Shaam
01-26-2010, 01:51 PM
kia baat hai naushi gilaani ki


zabardsat

!~*AdOrAbLe*~!
01-26-2010, 04:21 PM
nicee...

SHAYAN
07-06-2010, 12:59 AM
Nice...

FarazAli
10-04-2010, 06:38 PM
nice sharing

DiE
10-05-2010, 04:26 AM
v nice

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.