!«╬Ĵamil Malik╬«!
01-24-2010, 08:24 PM
Main janam janam se naraz hoon main janam janam se udaas hoon
Main kabhi bhi khul ke hansa nahin mere humsafar abhi soch le
Tu hai khuwab khuwab pukarta meri ankh main nahin ashk bhi
Main muddaton se jiya nahin mere humsafar abhi soch le
Tujhe khushbuoon ki hai arzoo tujhe roshni ki hai justujo
Main hawa nahin diyya nahin mere humsafar abhi soch le
Tujhe ansuoon ka pata nahin tujhe ratjagon ka guman nahin
Tujhe is se agay pata nahin mere humsafar abhi soch le
Kahin chhoot sakta hai darmiaan na zameen mile gi na asmaan
Tujhe rastay ka pata nahin mere humsafar abhi soch le
Mujhe dhoondta hi phire ga tu na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pe mila nahin mere humsafar abhi soch le
Kaho lautna hai kise yahan merey dard sun mere meharban
Mere paas waqt zara nahin mere humsafar abhi soch le