ROSE
01-24-2010, 02:57 PM
Tujh se rabt itna, gham-e-shaam-o-seher apna hai
aks tera hai magar deeda-e-tar apna hai
jee meiN aaya to kabhii phoR hii daaleiN gey issay
gair k haath ka pathar nahiiN, sir apna hai
wehshat-e-jaaN kabhii fursat ho to iss simt bhii aa
sheher se door sahii, dasht bhii ghar apna hai
be'hajabana mile uss se to yeh bhed khula
khalq ka khauff nahiiN hai, ussay darr apna hai
woh jo manzil hai sir hadd-e-nazar terii hai
yeh jo chehra hai pas-e-gard-e-safar, apna hai
sach bhii kehte haiN magar jhoot kii ley meiN Mohsin
kuch dinoN se yehii andaaz-e-hunar apna hai ...!!!