Shaam
01-23-2010, 01:47 PM
bhale dino ki baat hai
bhali si ek shakl thi
na yah husn e taam ho
na dekhnei mei aam si
na yah wo chale tou sitaro si rehguzar lagei
magr wo sath ho tou bhla bhla sa safar lagei
koi bhi rut ho us ki chab
fiza ka rang o roop thi
wo garmio ki chaon thi
wo sardio ki dhoop thi
na mudato juda rahey
na sath shaam o subh ho
na rishta e wafa pei zid
na yah kei izn e aam ho
na itni khush libasiaa
kei sadgi gila karei
na itni betakallufi
kei aina haya kare
na ikhtilaat mei wo ram
kei bad maza ho khuwahishein
na is qadar supurdgi
kei zich karein nawazishein
na aashiqi junoon ki
kei zindagi azaab ho
na is qadar kathor pan
kei dosti kharab ho
kabhi tou baat bhi khafi
kabhi sukoot bhi sukhan
kabhi tou kasht e zaghfaraa
kabhi udaasio ka ban
suna hai ek umr hai
mamlaat e dil ki bhi
wisl e ja fiza tou kia
firaq e jaan gusl ki bhi
so ek roz yah huwa
wafa pei behes chir gai
mei ishq ko amar karoo
wo meri zid sei chir gai
mei ishq ka aseer tha
wo ishq ko qafas kahey
kei umr bher kei sath ko
bad tar az hawis kahei
shajr hajr nahi hum
hamesh paba e gil rahein
na dhor hain kei rassiyaa
galei mei mustaqil rahein
me koi painting nahi ho
jo ek frame mei rahoo
wohi jo man ka meet ho
usi kei prem mei rahoo
tumhari soch jo bhi ho
me is mizaaaj ki nahi
mujhey wafa sei ber hai
yah baat aaj ki nahi
na us ko mujh pei man tha
na mujh ko us pei zom hi
jab ahad hi koi na ho
tou kia gham e shikastigi
so apna apna raasta
hansi khushi badalllia
wo apni rah chal pari
mei apni rah chaldia
bhalei dino ki baad hai
bhali si uski dosti
ab us ki yaad raat din
nahi magr kabhi kabhi
bhali si ek shakl thi
na yah husn e taam ho
na dekhnei mei aam si
na yah wo chale tou sitaro si rehguzar lagei
magr wo sath ho tou bhla bhla sa safar lagei
koi bhi rut ho us ki chab
fiza ka rang o roop thi
wo garmio ki chaon thi
wo sardio ki dhoop thi
na mudato juda rahey
na sath shaam o subh ho
na rishta e wafa pei zid
na yah kei izn e aam ho
na itni khush libasiaa
kei sadgi gila karei
na itni betakallufi
kei aina haya kare
na ikhtilaat mei wo ram
kei bad maza ho khuwahishein
na is qadar supurdgi
kei zich karein nawazishein
na aashiqi junoon ki
kei zindagi azaab ho
na is qadar kathor pan
kei dosti kharab ho
kabhi tou baat bhi khafi
kabhi sukoot bhi sukhan
kabhi tou kasht e zaghfaraa
kabhi udaasio ka ban
suna hai ek umr hai
mamlaat e dil ki bhi
wisl e ja fiza tou kia
firaq e jaan gusl ki bhi
so ek roz yah huwa
wafa pei behes chir gai
mei ishq ko amar karoo
wo meri zid sei chir gai
mei ishq ka aseer tha
wo ishq ko qafas kahey
kei umr bher kei sath ko
bad tar az hawis kahei
shajr hajr nahi hum
hamesh paba e gil rahein
na dhor hain kei rassiyaa
galei mei mustaqil rahein
me koi painting nahi ho
jo ek frame mei rahoo
wohi jo man ka meet ho
usi kei prem mei rahoo
tumhari soch jo bhi ho
me is mizaaaj ki nahi
mujhey wafa sei ber hai
yah baat aaj ki nahi
na us ko mujh pei man tha
na mujh ko us pei zom hi
jab ahad hi koi na ho
tou kia gham e shikastigi
so apna apna raasta
hansi khushi badalllia
wo apni rah chal pari
mei apni rah chaldia
bhalei dino ki baad hai
bhali si uski dosti
ab us ki yaad raat din
nahi magr kabhi kabhi