Shaam
01-22-2010, 11:42 AM
chalo ik baar phir se ajnabii ban jaayeiN ham dono
na main tum se koi umeed rakhoon dil-nawazi ki
na tum meri taraf dekho ghalat-andaaz nazron sey
na meray dil kii dharkan larkharaye meri baaton mein
na zaahir ho tumhari kash-ma-kash ka raaz nazron se
tumhein bhi koi uljhan rokti hai pesh-qadmi se
mujhe bhi log kahte hain key yeh jalvey paraaye hain
mere hamrah bhii rusvaiyan hain meray maazi ki
tumhare saath bhi guzri hui raaton key saaye hain
taaruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar
taalluq bojh ban jaye to usko torna acha
voh afsana jisey anjam tak lana na ho mumkin
usey ik khoobsurat mor dey kar chorna acha
chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayein hum dono