Zafina
01-20-2010, 03:03 PM
aseer-e-dasht-e-bala ka na majra kehna
tamam pochnay walon ko bus dua kehna
yeh kehna raat guzarti hai ab b aankhon mein
tumhari yaad ka qaim hai silsila kehna
yeh kehna chaand utarta hai baam pe ab b
magar nahi hai woh shab-e-mah ka maza kehna
yeh kehna haar na maani kabhie andheeron se
bujhay chirrag tow dil ka diya jala kehna
yeh kehna tum se bicher kar bikher gaya koi
k jaisay haath se gir jaye aai-ena kehna..