PDA

View Full Version : <Zamana Guzar Gaya>By ADoO


!~*AdOrAbLe*~!
01-19-2010, 09:24 AM
Us ne kaha ke ishq ka nasha utar gaya
Main ne kaha ke husaan bhi hum se mukar gaya


Us ne kaha keh tuj ko dilani hain chooriyaan
Main ne kaha ke aab wo zamana guzar gaya


Us ne kaha ke kya hoti kaajal ki dhaar si
Main ne kaha ke ankh se darya guzar gaya


Us ne kaha kehyeh teri chooriyoon se dosti
Main ne kaha ke dil mera duniya se bhar gaya


Us ne kaha ke kya mila sab se bigar ke
Main ne kaha ke waqat acha guzar gaya


Us ne kaha ke khuwab main aane ka waqat doo
Main ne kaha ke neend ka mausam guzar gaya


Us ne kaha keh wo tere sooraj ka kya bana
Main ne kaha ke wo mere dil main utar gaya



Akhir ko tang aa ke, kahi us ne itni baat
Wo tum kahan gaye wo zamana kidher gaya.



Janty hoon bhula na poagey kisi halat mein mujhe
Mager kuch aisay yaad karna jeene ke kaam asakoon

Ghuncha
01-19-2010, 10:41 PM
Nice .........!!

!~*AdOrAbLe*~!
01-20-2010, 12:20 AM
thnxxx

Noor ul huda
01-20-2010, 12:24 AM
nice poetry....keep it up

!~*AdOrAbLe*~!
01-20-2010, 12:30 AM
thnx....

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.