dont depend on others
01-18-2010, 12:13 PM
Hamaara kya hai..
Hamaara kya hai.. kay ham tou chiraagh-e-shab ki tarah
Agar jale bhi too bas.. itni roshni hogi
Kay jaisay tund andheron ki raah mein jugnuu
Zaraa si der ko chamke.. chamak ke kho jaaye
Phir is ke baad kisi ko na kuchh sujhayee day
Na shab kate na suraagh-e-sahar dikhayee day
Hamaara kya hai ke ham to pas-e-ghubaar- e-safar
Agar chale bhi to bas itni raah tay hogi
Ke tez havaaon ki zard maail naqsh-e-qadam
Zaraa si der ko ubhre.. ubhar kay mit jaaye
Phir us ke baad na raastaa na rah guzar milay
Hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar milay
Hamaari simt na dekho ke koi der mein ham
Qabeela-e-dil- o-jaan judaa honay walay hain
Base basaaye huye shahar apni aankhon kay
Misl-e-khaanaa- e-veeraan ujarnay wale hain
Hawa ka shor ye hi hai tou dekhte rehna
Hamaari umar ke khaimein ukharne waale hain