Hussain
11-02-2008, 09:50 PM
Main Pal pal marti rahi wo Lamha lamha jee gaya
Kitna Pyasa tha ikk Ghum mujhe todkar pee gaya
Kalam rafta rafta toot_ti ja rahi hai
Dard mila kuch Aisa jo Lafzon ko see gaya
Wo gaya mujhe chodkar par mera sab le gaya
Khayal tha usse bhoolne ka, lo abb wo bhi gaya
Bastiyan jalne ka Sabab tumse poochte hain
Par tumhe kya kaun mara aur kaun jee gaya
Uth kar Insaniyat se hath milana hai “wafa”
Wo Ehsas tha yahin bas Abhi gaya..Abhi gaya..