life2
01-08-2010, 08:48 PM
qabr ke aaghosh mein jab thak ke so jaati hai maa
tab kahin jaake zara thoda sukoon paati hai maa
apne bachoun ke gham me aise ghul jaati hai maa
jawaan hote hue bhi boodhi nazar aati hai maa
kab zaroorat ho bachoun ko meri itna sonch kar
jaagti rehti hai aankhien aur so jaati hai maa
ghar se jaata hai jab koi noor –e- nazar
haath mein quran leke dar pe aajati hai maa
chahe hum khushiyon mein usey bhool jaien dostoun
jab museebat sar pe aajae to yaad aati hai maa
jab kabhi mushkil mein hum ghir jaate hain pardes mein
tasalliyaan dene hamien tab khwaab me aajati hai maa
shukriya hohi nahi sakta kabhi uska ada
martey martey bhi du’a jeeney ki dejaati hai maa
pyaar kehte hain kise aur ma*** kya cheez hai
un bachoun se poocho jin ki marjati hai maa.