ShArArTi MuNdA
10-31-2008, 08:11 PM
Khud apne dil k haath se majboor bohat thay
Jo qurbatoN k daur mein bhi door bohat thay
Ham ne to kuchal Daala tha apni anaa ka sar
Wo phir bhi,Khuda jaane kyuN,maghroor bohat thay
Chaaha tha dil-e-zaar ki haalat bayaaN karein
Dekha to palaT aaye,wo masroor bohat thay
Ji chaahta tha khud se munsalik har aik baat
Khud tak hi rakhte ham magar mash-hoor bohat thay
Alfaaz ki gehraai ko kya maapte k ham
Lehje ki mai-e-mast se makhmoor bohat thay
Wo beech raah cHoR k rasta badal gaya
Goya hamaari ghalatiyaaN,qusoor bohat thay
Lab muskura diye magar aankhoN ne keh diya
Ham uss k haal-e-zaar pe ranjoor bohat thay