ShArArTi MuNdA
10-31-2008, 08:09 PM
Na din se,shaam se,sahar se hai,na shab se hai
Hai jo bhi gham hamein laahaq tere sabab se hai
SameiT leite hain daaman,jo paas se guzre
Hamein kuch aisi adaavat hui tarab se hai
Badal gaye hain sabhi ma'ani o mafhoom iss k
Adaa hua hamaara she'r uss k lab se hai
Agar-che auj-e-anaa,khaak-e-paa se behtar thi
Hamein nahiN koi phir bhi gila talab se hai
Tu chaah kar bhi hamein yaad na aa paaye ga
Tujhe iss baar bhulaaya kuch aise ab se hai