PDA

View Full Version : Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai


ROSE
01-06-2010, 01:59 PM
Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simte to dil-e-aashiq,faile to zamaana hai

hum ishq ke maaro`n ka itna hi fasaana hai
rone ko nahi koi hansne ko zamaana hai

wo aur wafa-dushman,maane hain na maana hai
sab dil ki sharaarat hai aankhon ka bahaana hai

kya husn ne samjha hai,kya ishq ne jaana hai
hum khaaqnasheeno`n ki thokar mein zamaana hai

ae ishq-e-junoo`n-pesha!haan ishq-e-junoo`n pesha
aaj ek sitamgar ko hans-hans ke rulaana hai

ye ishq nahi`n aasaa`n bas itna samajh leeje
ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai

aansu to bahot se hain aankhon mein `jigar` lekin
bindh jaaye so moti hai reh jaaye so daana hai

!~*AdOrAbLe*~!
01-06-2010, 06:05 PM
v v nice

SHAYAN
07-02-2010, 02:40 AM
Nice....

~~KING~~
07-02-2010, 02:41 AM
VERY NICE...........................:bu:

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.