!~*AdOrAbLe*~!
01-06-2010, 06:20 AM
http://i618.photobucket.com/albums/tt265/Romkjsvraag/dividers/oudrozedividers.gif
khush the bahot wo
bahot khush
k kuch din baad
uski behna ki shaadi thee
wo her lamha,her pal
jaldi bitana chahta tha
wo uduh ke jana chahta tha
k jis ke sath bachpan guzra
jis ko apney hathon main khilaya
ussey ab paraye gher ko jana tha
bahot se cheezain tou abhi
usko khareedni theen
choorian, mehndi
aur haan paranda bhi
jo usko jan se pyara tha
saaman ki fehrist
dil mian sajaye
wo bazar chala tha
sufaid rang ka kurta pehnay
masroor chehray ke sath
wo apni dhun main ja raha tha
us ko kia khaber thee
ke wo jo surkh joda
khareedne chala hai
aj khud surkh joda pehney ga
wo k jis ko
behan ki doli uthani thee
usse khud kandon pe uthna hai
ussay kia khaber thee
bahot se kanch ke
rang barangi choorian
le ke abhi wo nikla hi tha ke....
ek awaz qamayat se
fiza main pal main goonj gai
wo zameen pe tha
surkh khoon main lipta
aakhri saansain aur aakhri tamnna
dil main lye
wo ja raha tha
wo rang barangi choorian
jo kalai mian sajni theen
surkh lahoo main bikher gain
wo jo behn ko
rukhsat kerne chala tha
behan ke surat aankhon main lye
khud rukhsat hu gya
http://i618.photobucket.com/albums/tt265/Romkjsvraag/dividers/oudrozedividers.gif
khush the bahot wo
bahot khush
k kuch din baad
uski behna ki shaadi thee
wo her lamha,her pal
jaldi bitana chahta tha
wo uduh ke jana chahta tha
k jis ke sath bachpan guzra
jis ko apney hathon main khilaya
ussey ab paraye gher ko jana tha
bahot se cheezain tou abhi
usko khareedni theen
choorian, mehndi
aur haan paranda bhi
jo usko jan se pyara tha
saaman ki fehrist
dil mian sajaye
wo bazar chala tha
sufaid rang ka kurta pehnay
masroor chehray ke sath
wo apni dhun main ja raha tha
us ko kia khaber thee
ke wo jo surkh joda
khareedne chala hai
aj khud surkh joda pehney ga
wo k jis ko
behan ki doli uthani thee
usse khud kandon pe uthna hai
ussay kia khaber thee
bahot se kanch ke
rang barangi choorian
le ke abhi wo nikla hi tha ke....
ek awaz qamayat se
fiza main pal main goonj gai
wo zameen pe tha
surkh khoon main lipta
aakhri saansain aur aakhri tamnna
dil main lye
wo ja raha tha
wo rang barangi choorian
jo kalai mian sajni theen
surkh lahoo main bikher gain
wo jo behn ko
rukhsat kerne chala tha
behan ke surat aankhon main lye
khud rukhsat hu gya
http://i618.photobucket.com/albums/tt265/Romkjsvraag/dividers/oudrozedividers.gif