Zafina
01-05-2010, 08:44 PM
Jamal e yaar ko dekhoon kamal e yaar se pehlay
Main khushbu ki tarha mehkoon khayal e yaar se pehlay
Karishmay husn k sooraj, sitaray phool zahir hain
Mager main kis taraf dekhon misal e yaar se pehlay
Duaon main meri yun to bohat taaseer hai laikin
Main khuda se aur kya mangoon, sawaal e yaar se pehlay
Hai aadat door rehnay ki, ager wo samnay aaye
Main shaam e zindagi chahoon visaal e yaar se pehlay.