Nida-H
01-02-2010, 04:08 PM
Wohi Gall'ian, Wohi Koochy, Wohi Sardi Ka Mausam!
Isi Andaz Se Apna Nizam-e-Zeest Baham Hai
Ye Husne Ittefaq Aisa K Nikhri Chandni Bhi Hai
Wohi Her Simt Veerani, Udasi, Tashngi Si Ha
Wohi Hai Bheer Sochon Ki, Wohi Tanhaiyan Phir Se
Mujhy Sab Yad Ha, Kuch Saal Pehly Ka Ye Qissa Ha
Wohi Lamhy To Veerany Ka Ik Abaad Hissa Hai
Meri Aankhun Main Wo Ik Lamha Moujood Ab Bhi Hai
Wo Zinda Raat Mery Sath Lakhon Bar Jagi Hai
Kisi Ne Raat Ki Tanhai Main Sargooshian Ki Thi'n
Kisi Ki Narm Guftari Ne Dil Ko Lorian Di Thi'n
Kisi Ne Meri Tanhai Ka Sara Karb Baa'nta Tha
Kisi Ne Raat Ki Chunri Main Roshan Chand Taa'nka Tha
Chamkty Jugno'un Ka Seel Ik Bakhsha Tha Rato'n Ko
Dharakta Sa Nayaa Unwa'n Dia Tha Mery Khwabon Ko
Ma Sheru'n Main ilham Ki Sorat Utra Tha
Ma'ani Ban K Jo Lafzo'n Main Pehli Bar Dharka Tha
Wo Jis K Hony Se Zindagi Ki Naghma Sarai Hai
Usey Kehna K Bheegi January Phir Laut Aai Hai !!!