(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
12-25-2009, 05:25 AM
Na khaif hon mein nashtar se na mein kaanton se darta hon
Kissi ka dil dukha dein jo mein un lafzon se darta hon
Suhanay thay jo sab ke sab woh lamhe rahein ge pechey
Naye logon nai baaton naye lamhon se darta hon
Zamanay ne yehi mera nirala taur dekha hai
Mein ghairon se nahi faqat apnon se darta hon
Buray hon jo haqiqat mein magar zahir mein achay hon
Ilahi is zamanay mein main un logon se darta hon
Ujaalon se mohabat hai mujhe yeh thik laikin
Jala dein jo gulshan ko meni un kirnon se darta hon
Mein qaayal hun faqat unka jo ansu rang laayen
Jo beh jayen faqat yunhi mein un askhon se darta hon